Wednesday 11 April 2018

NASAMAJHI(Agyanta )


Kuchh log samajdar hote hai aur kuchh log samajdar hote hua bhi nasamjhi ka bhana karte hai.kuchh logo ko nasamjhi ke karan nuksan uthana padhta hai aur kuchh logo ke samajhdar hone par bhi nuksan uthana padhta hai uska karan hai ki be samajhdar hote hua bhi nasamjhi ka dikhava karte hai aur parinam yah hota hai ki unko nuksan uthana padhta hai 
  
jo log nasamjh hai aur be nuksan uthate hai to samajh aata hai ki unhone nadani me nuksan uthaya kyuki unhe eske bare me kuch jankari hi nahi thi. lekin jo log samajhdar hai  be agar nuksan uthate hai to sayad unke liye ye bat sahi nahi hai. unhone nuksan esliye uthaya ki be samajhdar to hai par nasamjhi ka Dikhava karte hai.yadi be samajhdar hote hua bhi nadani ka dikhava karke nuksan uthate hai to enhe sayad samajhdar nahi kahenge. kyuki nasamajhdar aur samajhdar vyaktiyo me koi antar nahi rah jata kyuki nuksan to dono ne hi uthaya hai.Esko ham ek chhoti si kahani ke madyam se samajhne ki kosis karte hai.

     Ek bar rk aadmi ek Gadhe ko lekar ja raha tha.us vyakti ne Gadhe ke gale me ek heere ki mala pahnay hua tha.raste me use ek aadmi mila wah johri tha. usne jab dekha ki ye vyakti Gadhe ke gale me Heere ki mala phinakar le ja raha hai to usne nasamajhdar banne ki kosis ki aur us vyakti se kaha ki tum es Gadhe ko ye paththar phinakar kaha le ja rahe ho. es paththar ka tum kya karoge.ese mujhe de do aur badle me mujhse 10 rupar lelo.

    yah sunkar Gadhe ke malik ne kaha ye paththar hi to hai aap esko lekar kya karenge. es paththar ke liye aap kyu apne 10 rupay barbad kar rahe hai. yah kahkar wah aage chala gaya. us johari ne socha jab wah vapis lautega tab ham esse yah heere ki mala kharid lenge.

Es tarah wah vyakti apne Gadhe ko lekar aage badhgaya. aage jakar use raste me ek pandit ji mile. jab pabdit ji ne dekha ki ye aadmi apne Gadhe ko heere ki mala pahina kar kahi ja raha hai to unhone us aadmi se kaha tum es mala ka kya karoge.usne kaha ki ye to paththar hai mere kisi kam ka nahi.

     yah sunkar pandit ji ne kaha ese tum chaho to mujhe de sakte ho esse tumhe dan dene ka puny milega .us Gadhe ke malik ne sochha ye to paththar hai eska mai kya karunga. yadi mai ese dan de du to mujhe puny milega.yah sochkar usne heere ko pandit ji ko de diya.

Fir aapna kam pura karke vapis jane laga use raste me wahi johari mila usne dekha ki Gadhe ke gale me Heere ki mala nahi hai.usne Gadhe ke malik se puchha  wah mala kha gai.Gadhe ke malik ne kaha wo paththar maine pandit ji ko dan me de diya hai uske badle me mujhe puny milega waise bhi wo paththar tha hamare ya tumhare kis kam ka tha.yah sunkar johari ko nasamjda bankar nuksan huaa kyuki usne socha yadi me esko sahi sahi bata deta to sayad ye mujhe Heera bench deta kyuki wah heera bahut kimti tha.

Esliye kaha jata hai ki kuchh log Nasamjhi me nuksan uthate hai aur kuchh log Sanajhdar bankar bhi Nuksan uthate hai. Endono me kya fark rah jata hai.

No comments:

Post a Comment