Wednesday 11 April 2018

KARMO KE FAL


Es Dniya me har vyakti ko apne apne karmo ki saja bhugatni padhti hai. kuchh log sochte hai ki kal ka kisne dekha jo bhi hai aaj hi hai aur be kal ki parwah kiye bina achhe aur galat kamo ko karte rahte hai. jo log achhe kamo ko karte hai uska parinam unhe achcha hi milta hai par kuchh log galat kamo ko karte rahte hai uska unhe galat hi parinam milta hai.kuchh log apne achhe karmo par dyan dete hai ki kahi aisa na ho ki unse koi galat kam ho jaye aur unhe uski saja bhugatni padhe. dusri taraf kuchh log kal ki parwah nahi karte be karmo ki saja ko nahi mante aur galat kam karte rahte hai.jiska unhe bura parinam bhugatna padhta hai.Ese ham ek chhoti si kahani ke madyam se samajhne ki kosis karte hai.

Ek bar ek Raja ne apne Teeno  mantriyu ko darwar me bulaya. aur unhe ek ek thaila diya. Raja ne mantriyo se kaha ki tum log es thaile me achche achche fal lekar aao.

      teeno mantri apne apne thaile ko lekar alag alag jagah chale gay.pahla mantri bageeche me gaya aur achchhe achchhe falo ko todhkar ekaththa karta raha.aur uska thaila taje falo se bhar gaya. Dusra mantri apna thaila lekar dusre vagiche me gaya usne socha ki Raja thaile ko nahi dekhenge esliye mai esme upar kuchh achchhe fal  rakh leta hu aur neeche sadhe gale.kyuki raja thaile ko nahi dekhne wale.

Teesre mantri ne sochha Raja thaile ko bilkul hi nahi dekhenge kyuki unke pas etna time nahi hai ki be yah faltu me apna samay nast kare.es karan teesre mantri ne apne thaile me Ghas bhus aur patte bhar liye.aur raja ke pas chal diye.

   jab be teeno mantri raja ke pas pahunche tab raja ne aisa hi kiya jaisa ki mantriyu ne socha tah Raja ne kisi bhi mantri ke thaile ko nahi Dekha. lekin raja ne teeno mantrio ko thaile ke sath jail me dalwa diya.un mantriyo ko jail me kuchh bhi khane ke liye nahi diya gaya.teen mahino ke liye unhe jail me rakha gaya pahla mantri jisne apne thaile me taje fal rakhe the wo un falo ko khakar jita raha.

 Dusre mantri ne apne thaile me upar achche fal rakhe the jab tak wah chalte rahe wah unko khata raha. uske bad neeche usne kharab ,sadhe gale fal rakhe hua the unhe khane ke bad wah bimar ho gaya aur uski halat krab hone lagi.aur bigadhti hi chali gai.

teesre mantri ne apne thaile me Ghas bhus aur patte rakhe hua the jis karan use khane ko kuchh bhi nahi mila aur wah bhukh se tarafte hua mar gaya.

Bilkul thik esi tarah Hamare karmo ke fal hai jo sansar rupi bagiya me ensan rahta hai raja rupi Bhagwa ke samne apne apne karmo ka hisab dena hota hai.

Esliye har ensan ko achchhe karam karne chahiye yah nahi sochna chahiye ki hame koi nahi dekh raha hai jab samay aata hai tab hamare karam hi hamara sath dete hai us samay yadi karam achchhe hai to hamare sath achchha hota hai aur yadi hamare karam kharab hai to hamare sath bura hota hai.

No comments:

Post a Comment