Tuesday 10 April 2018

Jivan ki kimat (Mol)


   Kuchh log apne jiva ki kimat nahi samajh pate aur apna sara jivan vyarth gava dete hai.unka manna hota hai ki es Duniya me log aate hai apna jivan vyatit karte hai aur chale jate hai jab ham duniya me aate hai to hame apna jivan apne tarike se jina chahiye. sab ke apne apne vichar hote hai apni apni mantaye hoti hai koi apne jivan ke samay ko aise hi vyarth ki banto aur kamo me gava dete hai aur kuchh log apne jivan ko anmol samajhte hai ve apne jivan ke samay ko barbad nahi karte aur apna sara jivan achhe kamo me laga dete hai.

kuchh log rupay paise ke pichhe bhagte rahte hai. unko lagta hai ki jab ham Duniya me aaye hai to hamare pas sari sukh suvidhaye honi chahiye. kahi aisa na ho ki koi hamse aage nikal jaye aur ham es jivan ki dodh me pichhe rah jaye.unhe lagta hai ki hamare pas bangla hona chahiye ,nokar chakar hona chahiye aur bank balance hona chahiye.sansar ki sari sukh subhidhaye hamare pass honi chahiye.aur be sarajivan rupay paiso ke pichhe bhagte rahte hai.

Lekin kuchh aise bhi log hote hai jo rupay paise ke pichhe nahi bhagte. ve apne bare me kam aur Dusro ke bare me jyada sochte hai. unhe lagta hai ki duniya se dukh dard aur garibi dur honi chahiye be apna sara jivan samajh seva me aur dusro ki bhalai me laga dete hai. esko ham ek chhoti si khani ke rup me samajhne ki kosis karte hai.

Ek bar ek sisy apne Guruji ke pas gaya usne guru ji se puchha Guru dev jivan ka moly kya hai guru ji ne apne sisy ki bante sun kar apne sisy ko ek paththar ka tukra diya aur kha ki logo ko yah paththa dikhao par ese benchna nahi.

Sisy us paththar ko lekar Aam benchne bale ke pass gaya aur us paththa ko dikhaya. Aam benchne bale ne kaha tum mujhse 20 aam lelo aur es paththar ke tukde ko mujhe de do.yah sunkar sisy ne kaha mere Guru ne ese benchne ko mana kiya hai.

Uske bad sisy us paththar ko lekar sabji bale ke pass gaya aur us paththar ko dikhaya sabji bale ne kaha tum mujhse ek bori pyaj lelo aur es paththar ko mujhe de do.sisy ne fir se wahi kha ki mere guru ji ne ese benchne ke liye mana kiya hai.

Eske bad sisy ek sunar ke pass gaya aur us paththar ko dikhaya sunar ne sisy se kaha tum mujhse 10 lakh ruppay lelo aur es paththar ko mujhe de do. es bar bhi sisy ne kaha ki mere guruji ne ese benchne ke liye mana kiya hai.

Es bar sisy ek johari ke pass gaya aur paththar ko dikhaya us johari ne kaha mujh se 10 karor rupay le lo aur paththar mujhe de do es bar bhi sisy ne kaha mere guruji ne ese benchne ke liye mana kiya hai.

Es bar wah sisy aise vyakti ke pass gaya  jisne us paththar ko dekhkar us paththako hath jodhkar pranam kiya aur uski parikrma ki aur kaha ki es duniya ki sari dolat bhi es kimati paththar ke aage kuchh nahi hai.

jab wah sisy guruji ke pas aaya to guru ji ne kaha.aisa hi hamara jivan hai.

Chahe es jivan ko tukchh samjho , chahe Anmol yah Hamare upar nirbhar karta hai......

No comments:

Post a Comment