Tuesday 10 April 2018

Apni Apni Paristhtiya


Aksar aisa hota hai ki log hamari paristhtiyo ko nahi samajh pate.jis karan wo ham par hasne lagte hai.usi prakar kabhi kabhi ham log hbi unki paristhtiyo ko nahi samajh pate aur ham log un par hansne lagte hai.kyuki sabhi ki paristhtiya alag alag hoti hai aur wahi apni paristhtiyo ko samajh pata hai. hame dusro ki paristhtiyo ko bina jane un par nahi hasna chahiye.kyuki kabhi kabhi ham log jo dekhte hai wo sirf dekhte hi hai uske andar ki paristjhtiya kya hai wo nahi samajh pate aur logo ko nasamajh samajh kar un par hansne lagte hai.

        Leki jab hame unke andar ki paristhtiyo ka pata chalta hai tab hame dukh hota hai aur apni galtiyo par pastava hota hai us samay apne aap par bahut gussa aata hai. us samay hame apni galtiyo ka ahsas hota hai Esko ham ek chhoti si kahani ke madyam se samajhne ki kosi karte hai.

    Ek bar ek 18 sal ka bachcha apne papa ke sath train me safar kar raha tha.train tej gati se chalti ja rahi thi. bachha apne papa se badhi hi aaschary se bola.dekho papa train ke bahar sare pedh tej gati se ja rahe hai. usi train me ek vyakti baitha huaa tha wah dhyan se us bachhe ki bante sun raha tha.us vyakti ne bachhe ki banto ko sunkar bachhe aur pita ko dekha aur fir se paper padhne laga arthat us bachhe ki banto ko niglect kar diya .lekin thodhi der bad fir se wahi bachha fir se apne papa se bola Dekho papa pedh teji se ja rahe hai 

      Es bar bhi wah vyakti unki banto ko sun raha tha lekin es bar bhi usne unki banto par dyan nahi diya lekin wah apne man me sochne laga ki ye kaise pita hai enhone apne bachhe ko yah nahi sikhaya ki pedh nahi chalte hai balki train se dekhne par hame aisa prateet hota hai ki pedh ja rahe hai.bachha chota bhi nahi hai badha hai use to yah nat samajh me aani chahiye. yadi wah es bat ko nahi samajh raha hai to uske pita ko ye bat samjhani chahiye.lekin wah bat ko samjhane ki jagah chupchap baithe hai.

               Lekin jab teesri bar bachhe ne apne papa se kha ki dekho papa pedh chal rahe hai.tab us vyakti se raha nahi gaya aur usne bachhe ke pita se kaha ki kaise pita hai aap aap ka beta etna badha hai par use yah malum nahi hai ki pedh nahi chalte balki hame aisa aabhas hota hai.agar bachha es bat ko nahi samajh pa raha hai to aap ko samjhana chahiye.

     Ye sari bante sunkar bachhe ke pita ne badhi salinta se kha.  Ham log aakho ke hospital se aa rahe hai.mera beta bachpan se dekh nahi sakta tha uska abhi operation huaa hai. usne abhi dekhna suru kiya hai. aap samajh sakte hai ki jis vyakti ki bachpan se aakhe na ho aur usko badhe hone par aakhe mile to wah jab duniya ko dekhega to use aaschary hoya. duniya ko dekhkarar cheejo ko samajhne me time lagega.

Ye sari bante sunkar us vyakti ko apne aap me pastava hua. 

Har vyakti ki aapni aapni paristhtiya hoti hai aur wahi hi apni paristhtiyo ko samajh sakta hai. Hame Dusro par nahi hasna chahiye......

No comments:

Post a Comment