Sunday 1 March 2020

एक ऐसा पत्थर जिसकी चमक सोने से भी ज्यादा (A stone that shines more than gold)




Ek raste ke patthar ne murti se puchha tum bhi patthar ho aur me bhi patthar hu par log 

tumhari puja karte hai aur mujhe log apne pairo se kuchalte hua chale jate hai . aisa kyu.?

            Murti ne muskurate hua kha tum sahi kah rahe ho par tum meri poja karne ke pichhe 

ki tapasya ko nhi jante maine kite kasto ko sahin karke es bardan ko prapt kiya hai. 

       Yah sab sunkar raste ke patthar ne kaha tumne aisi kon si tapasya ki hai tumne aise kon se 

kasto ko sahin kiya hai jisse ki aaj log tumhari pooja karte hai aur mujhe apne raste me pairo 

se kuchalte hua chale jate hai.

Patthar ki murti ne jabab diya ki maine bahut sari chheni aur hathore ki mar ko  sahin kiya 

hai' mujhe bahut ghisa gya hai.maine aag ki tapan ko sahin kiya hai. tab kahi mai aaj es layak 

ban paya hu ki log meri pooja karte hai mujhe mandir me esthan milta hai.

Jiwan ki yahi sachchai hai jab log kathin parisram karke aage badhte hai tabhi unhe safalta 

milti hai.pariwa me ,samaj me ,mitro me, desh aur duniya me visesh esthan prapt hota hai.sath 

hi sath man samman prapt hota hai


                Kabhi na kabhi logo ke dwara uthay gay kast aur unki mehnat rang jarur lati hai.