Tuesday 10 April 2018

Log (Public)

Aksar aisa hota hai ki ham jab bhi koi kam karte hai to sochte hai ki log kya kahenge. aur fir ham wah kam bheech me hi chhodh dete hai. kyuki hame lagta hai ki log kahenge ki ham jo kam kar rahe hai wah achchha nahi hai. ya fir ham jo kam kar rahe hai wah kam pura nahi kar paynge. es karan hamare man me logo ki pratikiriyaye chalti rahti hai aur hamara man hamare kam se bichlit ho jata hai . aur fir ham apne kam ko pura nahi kar pate hai. ham logo ki hansi ke patra ban kate hai. hamara man hamare kam se vichlit hota rahta hai. hamare andar nakaratmak vichar aana suru ho jate hai aur fir ham apne kam par dyan na de kar un nakaratmak vicharo me hi khoye rahte hai. es karan ham apne kam ko bhul jate hai. kyu ???

 kyu ki hamare man me wahi vichar aate hai ki Log kya kahenge ???
Logo ka kya logo ko jo kahna hai wah to be kahte hi rahenge.yadi hame apne kam ko pura karna hai aur usme safalta prapt karni hai to logo ki banto par dyan na dekar apne kam par dyan dena hoga. kyuki aksar logo ke nakaratmak vichan hamare kam me badha dalte hai.aur ham logo ki banto me hi khoye rahte hai jis karan ham apna kam man lagakar nahi kar pate aur hamara kam pura nahi ho pata.yadi ham apne kam me safalta chahte hai to fir hame sirf apne kam par hi dyan dena hoga logo ki banto par nahi. ek chhoti si kahani jo hame sikh deti hai.......
                                    
                              Ek bar kuchh medhak ek pedh par chadne ki kosis kar rahe the. waha par kuchh log khade huye the be kah rahe the ki ye medhak pedh par nahi chadh sakte kyuki yah medhak hai aur medhak kabhi pedh par nahi chadh sakte kyuki be pedh par chadne ke liye nahi bane hai.
         ye sari bante medhak sun rahe the.yah sari bante sunkar medhako ke man me nakaratmak vichar aane lage jis karan be apne kam ko man lagakar nahi kar pa rahe the. aur fir be pedh par nahi chadh pay.
      
          lekin unme se ek aisa bhi medhak tha jo pedh par chadh gaya tha. janta hai kyu.......?????

kyuki wah medhak vahra tha . us medhak ko kuchh sunai nahi deta tha jis karan usne logo ki banto par dyan hi nahi diya aur uske man me koi nakaratmak vichar hi nahi aaye. yadi wah vahra na hota to sayad wah bhi pedh par nahi chadh pata.kyuki uske man me bhi nakaratmak vichar aane lagte aur wah bhi apna kam man laga kar nahi kar pata.

      yadi ham apne kam me safalta chahte hai to hame sirf apne kam par hi dyan dena hoga logo ki banto par nahi.kyuki log har prakar ke hote hai. kuchh nakaratmak vichar bale aur kuchh sakaratmak vichar bale.par aksar nakaratmak vicharo bale log jyada mil jate hai. aur unke nakaratmak vichar hamare kam me badha dalte hai. jis karan ham apna kam man lagakar nahi kar pate aur hame hamare kam me safalta nahi milti.

Hame logo ki banto par Dyan na dekar Apne kam par Dyan dena chahiye. 

No comments:

Post a Comment