Wednesday 11 April 2018

EMANDARI


Duniya me har prakar ke log hote hai ve apne jivan ko apne apne tarike se jite hai unke andar kuchh achhe gun hote hai aur kuchh logo ke andar bure gun bhi hote hai. yadi ve bachhe hai to yah unki sikchha par nirbhar karta hai aur yadi badhe log hote hai to yah unki sikchha ke sath sath unki apni samajhdari par bhi nirbhar karta hai.

Jo log mehnat aur emandari se kam karte hai unhe hamesa safalta milti hai aur ve apna kam hamesa mehnat aur emandari se karte rahte hai.unki safalta ke karan unhe apne kam ko mehnat aur Emandari se karne ki prerna milti rati hai be dusro ko bhi prerna dete rahte hai.

Par es duniya me kuchh aise log bhi hote hai jo apna kam mehnat aur Emandari se karna chahte hai par log unki mehnat aur Emandari ko nahi samajhte aur unhe bebakuf samajhte hai.Es karan se unka manoval kam hota jata hai.Aaiye ese ham ek chhoti si kahani ke rup me samajhne ki kosis karte hai.

Ek bar ek Bhikari ko raste me ek parsh dala hua mila. usne us pars ko uthaya use kholkar dekha usme 2 Hajar rupay dale hua the. tabhi bheedh me se aabaj aai mera parsh kho gaya hai jis vyakti ko mera parsh mile wah mujhe de de mai use enam dunga.

yah sunkar bhikhari us vyakti ke pas aaya aur usne kaha aap ka parsh ye hai ab aap mujhe kya enam denge. yah sunkar us vyakti ne kaha pahle mujhe apna parsh check to kar lene do.usne apne parsh ko dekha aur bhikhai se kaha esme 4 Hajar rupay the baki tu ne leliye chal bhag yaha se.

yah sunkar bhikhari ko bahut bura laga use Emandar hone ka yah enam mila aur wah bahut dukhi ho gaya. usne kaha aap mujh par jhutha eljam laga rahe hai Eswar aap ko eski saja denge. wah bhikhari rat bhar nahi so paya aur sochta raha ki Emandar hone ki yah saja hai.
             
             Agle din jis vyakti ka parsh gira tha vah apne vyapar ke liye ja raha tha uske hantho me ek thaila tha aur usme 4 sone ke kimti har rakhe hua the.wah apne thaile ko es tarah pakdhe huaa tha ki logo ko sak na ho pay ki esme kimti saman hai aur wah thaile ko samany thaila samajhte hua hilate dulate chala ja raha tha.hilane dulane ke karn us thaile ke sare har kahi gir gay jagah wahi thi aur log bhi wahi the. Es bar bhi usne chilla kar kaha ki mere thaile ka kimti saman gir gaya hai jisko wah mile wo mujhe de de mai use enam dunga par es bar koi uske pass nahi aaya. use pastava hua use ahsas huaa ki har koi Emadar  nahi hota hai. wah bhikhari ke pas gaya aur usne apni galti ki mafi mangi.

             Logo ko hamesa Emandar hona chaiye aur Emandar vyaktiyu ko samajhna chaiye jisse ki unka manobal na gire aur yah gudh hamesa bana rahe. 

No comments:

Post a Comment