Tuesday 16 March 2021

Get PAN card within 10 minutes at home


Sansar sagar me aap ka swagat hai aaj mai aap ko btaunga ki kaise aap 10 minutes me PAN card
banba sakte hai wo bhi Ghar par baith kar online.yah proccess bahut hi aasan hai ese aap badi hi aasani se kar sakte hai. yah prakiriya paperless hoti hai esme aap ko kisi bhi prakar ke paper ya ducoments ki jajurat nahi hoti hai.lekin es prakiriya me aap ke pas Aadhar card hona jaruri hai aur aap ke pas wo mobile number bhi hona chaiye jo ki aadhar card se link ho. kyuki us mobile number par OTP prapt hoga aur us otp ki aap ko jarurat hogi.
                    PAN card banbane ke liye sabse pahile aap ko koi bhi brower open karna hoga jaise ki crom, opera mini aadi. uske bad uske address bar me aap ko type karna hoga efilling fir enter kar dijiye.jaise hi aap enter karte hai ek naya page open ho jata hai usme bahut sare option dikhai dete hai jisme se ek option hota hai PAN card ka us par mouse pointer ko lakar click kar dijiye ek naya page open ho jata hai usme five step follow karne honge.
         sabse pahile aap ko apna aadhar number likhna hoga uske bad aap ko capcha type karna hoga uske bad summit karna hoga . summit karte hi aap ke mobile number par ek otp aayega yah mobile number whi hoga jo ki aap ke aadhar card se link hoga. otp ko dalte hi summit karna goga jisse aapke aadhar ki sari detail aa jaygi jisme aap ka name aap ki date of birth hogi.
sari detait prapt hone ke bad ese aap ko summit karna hoga jaise hi aap summit karenge aap ko ek number prapt hoga es number ke dwara aap apne PAN card ka status check kar sakte hai aur use Doenload kar sakte hai.

Monday 15 March 2021

What is A/F (क्या आप जानते है A/F क्या है )


kya aap jante hai ki new car ya bike ke pichhe A/F kyu likha rahta hai. Jab bhi aap koi new car ya bike
kharidne jate hai to aap ko car ya bike ke pichhe A/F likhkar diya jata hai . yah aap ko esliye likhkar dya jata hai kyu ki aap ke pas gadhi ka number nhi hota hai . A/F  ka matlab hota hai Applied for.eska matlab hota hai ki aap ki car ya bike ke number ke liye aap ne applie kiya hai aur jab tak aap ke car ya bike ka number nahi aa jata jabtak aap apni car ya bike ke number plate par A/F likh sakte hai .
Aam tor par ek hapte mai rajistration number aa jata hai.par kuchh log apni car ya bike par ek mahine ya fir esse jyada dino tak A/F likh kar rakhte hai jo ki galat hai .yah kanuni tor par galat hai jab ek hapte me car ya bike ka Rajistration number aa jata hai to ese car ya bike ki number plate pr lgwa lena chahiye.