Monday 29 February 2016

Chasma

Image source other

Bhola-  Dr. sahab mai chasma lagakar padh to sakunga na.

Dr. -  Ha ha bilkul

Bhola-  To fir theek hai barna anpadh aadmi ki jindagi bhi koi jindagi hai.

Saturday 27 February 2016

Durghatna

                                                                       Image source other
Ek  bar raste me durghatna ho gai. Wha par kafi bheedh jama ho gai. Wha se Bhola jar aha tha usne 

socha ki wo dekhe ki  kiski durghatna hue hai. Par bheedh etni jada thi ki wo dekh nahi pa raha tha. 

Usne dekhne ki bahut kosis ki par use mauka nahi mil pa raha tha.
            
  Tabhi uske man me ek vichar aaya usne dimag lagaya  aur wo chilla chilla kar kahne laga hat jao sab yah mera Bap hai.

             
            Bheedh peechhe hati to dekha  ki ………. Ek cutta mara  padha tha...

Thursday 25 February 2016

Dubta jahaj

                                                                                   Image source other
Ek bar samundra me ek jahaj par kuchh log yatra kar rahe the. Tabhi achanak tufan aa gaya. Jahaj hilne dulne laga aur sabhi yatri yaha se wha hone lage. Logo me dahsat failne lagi wo log bahut darnel age aur bahut ghabrane lge.  Us jahaj par ek aadmi baitha tha. Tbhi usne yatriyu se kaha ki tufan tham jayga aur kisi bhi yatri ko koi bhi nuksan nahi hoga.
            Logo ne kaha tum yah kaise kah sakte ho. Tabhi usne kaha ki mai ek jyutsi hu aur bhavisy ko jan sakta hu. Yah sunkar logo ka bhay kuchh kam hua aur logo ne rahat ki sans li.
            Fir achanak tufan ruk gaya aur sabhi yatri us vyakti ko pujne lage tha unhe dhanybad diya fir log surakchhit apne apne ghar pahuchh gay.
            Jab wah vyakti apne ghar gaya to uske sath ek uska chela tha usne us aadmi se puchha ki aap se ek bat puchhu tab usne kaha ki ha puchho tab usne puchha ki mai aap ko pichhle 20 salo se janta hu ki aap etne yogy nahi hai ki aap bhavisy bata sake fir aap ne yah kaise jana ki tufan ruk jayga tab us vyakti ne jabaj diya ki maine to bas aise hi tukka laga diya tha.
          Yah sunkar us ke chele ne kaha ki agar tufan nahi rukta to kya hota log hame nahi chhodte
Us vyakti ne kaha es ke liy wha pa bachta hi kon…………..

                                                       “ Esi ko kahte hai VISWAS ”

Wednesday 24 February 2016

Bandar kon

                                                                               Image source other


Ek aadmi ko ek labarish Bandar mila to wah police station lekar gaya .

Inspecter  ne kaha ese chidiyagarh le jao. Dusre din

Wah aadmi bus staf par Bandar ke sath khada tha.

Inspecter ne use dekha  to kha tum Bandar ko lekar chidiyagarh nahi gay the.


Us aadmi ne kaha kal gaya tha khub ghume bada maja aaya Aaj kutub minar ja rahe hai……… 

Manokamna

                                                                                         Image source other


Ek bachcha apne parents ke sath bus me baith kar  safar kar raha tha. raste me ek nadi aati hai log 

paise nikal ka nadi me dalne lagte hai. Bachcha yah sab dekh raha tha. Usne pas baithe ek aadmi se 

puchha uncle log nadi me paise kyu dal rahe hai. Uncle ne jabab diya – beta nadi me paise dalne se 

hum jo mangte hai wo manokamna puri ho jati hai. Tab bachcha apne pocket se paise nilalta hai aur 

nadi me dal deta hai fir apni ankhe band karke kuchh mangta hai. Ye sab pas baithe uncle dekh rahe 

the unhone bachche se puchha- beta aapne kya manga hai tab bachcha jabab deta hai ki maine 

manga hai ki es nadi me jitne paise dale ho wo mujhe mil jay………

Monday 22 February 2016

Drastikon

Image source other

Ek Dharmatma ne jangal me ek makan banbaya. Aur bag bagiche  lagway taki yaha  aane bale log yaha thahre aur visram kare. Yaha par samay samay par log aate aur tharte the. Darwari har aane bale vyakti se puchhta ki aap ko yaha par kaisa laga aur malik ne ese kin logo ke liy banwaya hai. Waha par aane bala har vyakti apni apni drastikon  se wha par aane ka uddesh batate gay.
                   Choro ne kaha yaha par ham aaram karne, apni planning karne,mal ko bantne aur apne hathiyaro ko chhipane aate hai.
                    Juwariyu ne kaha  ham log yaha juaa khelne aur logo ki najro se bache rahne ke liy yaha aate hai.
                     Kalakaro ne kaha yaha par ham log akant aur santi  me kala ka abhiyash karne aate hai.
                     Santo ne kaha yaha par ham log akant aur santi me bhajan karne aur brahmleen hone ke liy aate hai.
                    Wha par kuchh  vidhyarthi aay unhone kaha yaha par santi hai jis karan se unhe vidhya ka adhyan achchhi tarah se ho jata hai.
                       Wha par aane bala har vyakti apni apni kary ki drasti se jabab deta gaya.
        Tab darwar ne yah niskarsh nikala ki jiska jaisa drastikon hota hai uska vaisa hi vyaktitv hota hai…….

Sunday 21 February 2016

Sigret aur Bhojan

Image source other











Dr. -   tum  din me kitni sigret pite ho.?

Marij – 20

Dr. ne marij se kaha yadi tum  mujhse  elaj karwana chahte ho to tumhe sigret se parhej karna hoga 

dekho tum ek  niyam bana lo tum  khane ke bad hi ek sigret piyuge. Marij ne Dr. ki bat man li. Dr. ne 
marij ka elaj karna suru kiya

Kuchh din bad marij Dr. ke pas aaya uska swasth achchha tha.

Dr. ne kaha dekha mere batay gay parhej se tumhara swasth kitna sudhar gaya.

Marij ne kaha lekin Dr. sahib din me 20 bar bhojan karna bhi koi saral kam nahi tha......


Machchhar

Image source other


Aaj machchhar ka beta pahlibar udhan par gaya.

Jab wah subah wapis aaya to uske pita ne puchha beta kaisa raha


to usne kha papa badhiya sabhi log  taliya baja baja kar mera swagat kar rahe the......

Pet dard






















Dr.  -        kaise aana hua.?
Marij  –   pet  me dard hai.
Dr.  –       srab peete ho. ?

Marij -     Ha, par chhota pek hi banana……

Saturday 13 February 2016

Kon Gyani aur Kon Agyani



Ek  chhote se gav me kuchh  logo ne saptahik  prabachan ka aayujan  rakha  .  aur ek din ek gyani ko bulaya gya  jisse ki log dharm aur gyan ki bato ko jan sake. Es ayujan ka prabhandh gav ke kuch logo ke dwara kiya gaya jo chahte the ki unke gav ke logo ko gyan  ki sikhchha mil jay.  Gav bale samay par prabachan sunne ke liy pahuch gay. Gyani  purush ne gav balo se puchha ki kya aap ko malun hai ki may aap logo se kya kahne bala hu.?  Yah sunkar gav balo ne kaha -  nahi to. .. gyani  purush gusse me aakar bole- jab aap ko pata hi nahi ki mai aap logo se kya kahne ja  raha hu  to fir kya kahu.  Wah naraj hokar  wha se chale gay. Gav ke sarpanch unke pas daudhte hua gay aur unse chhama yachna karne lage  unhone gyani purush se kaha gav ke log to agyani aur anpadh hai wo kya jane ki aap kya kahne bale hai. Aur kisi tarah se unhone gyani purush ko aane ke liy mana liya.
                         
  Aur agle din gyani purush fir wha gay aur fir se gav balo se wahi sabal dowara  puchhne lage   kya aap ko malum hai ki mai aap logo se kya  kahne bala hu. ? es bar gav wale satark the . unhone kaha ha hame malum hai ki aap kya kahenge . gyani purush bhadakh gay aur unhone kaha – jab aap logo ko pata hi hai ki may kya kahunga  to eska matlab hua ki aap log mujhse jyada gyani hai. Fir meri kya aabasyakta hai ? yah kahka wah wha se chale gay. Gav bale dubidha me padh gay ki aakhir un sajjan se kis tahah pesh aay , kya kahe.
                          
  Unhe fi r samjha bujha kar laya gaya es bar unhone fir whi sabal kiya to gav bale uthkar wha se jane lage. Gyani purush ne crodh me aakar kaha -  are mai kuchh kahne aaya hu to tum log yaha se ja rahe ho. Es par kuchh gav balo ne hath jodhkar kaha  - dekhiy, aap param gyani hai ham log murkh aur agyani hai hame aap ki bante samajh me nahi aati kripya aapne anmol bachan ham par vyarth na kare. Gyani purush akele khadhe rah gay.

   Unka ghamndh chur-chur ho gaya.
                                                                                                                                      Image source other

Thursday 11 February 2016

RAJA YA KANGAL

                                                                             Image source othe
Ek mahatma raste se kahi ja rahe the. wah fate hua maile kapdhe pahne hua the. samne se aa rahe Raja ke sipahi bole. raste se hat jao Raja sahab aa rahe hai. etne me raja sahab aa gay. mahatma aage badhe aur puch baithe. Raja jise chahe use apne rajy se nikal sakta hai aisa  hai kya...?  Raja bola ha. tab mahatma ne kaha tab to achchha hai mujhe rat  ko machchhar bahut paresan karte hai sanp ka dar mujhe bahut satata hai.Raja ji hukum do ki sanp es desh se chale jay
                   
               tab raja ne kaha ki ham enhe nahi nakal sakte yadi aap chahe to hamare mahal me rah sakte hai. raja ke aamantaran par mahatma ek din ke lia mahil gay. Unhone dekha ki wha par talwar lekar pahredar khade hai

               unhone man hi man socha ki yah mahil hai ya tahkhana tab raja ne mahatma ji ko dekha aur unka swagat satkar kiya

                sam ke samay raja mahatma ji ke kamre ke pas Eswar se prathna kar raha tha ki hey bhagwan mujhe dhany do, aayu lambi do, aur mere samrajy ko badha do.


                Yah sunkar mahatma ji ne raja se kaha hamne samjha tum raja ho to dhany to tumhare pas hoga hi. Lekin tum to kangal nikle aise me ham tum se kya mange hame jis cheej ki jarurat hogi  use se mang lenge jin se tum mang rahe ho.