Friday 13 April 2018

NAKARATMAK RASSI


Hamara jivan nakaratmak vicharo se bhara rahta hai jo ki hame aage badhne se rokta hai.ham jab bhi apne jivan me tarakki karne ki sochte hai ye nakaratmak vichar hamare man me aa jate hai aur hame aage jane se rokte hai.jis karan ham apne jivan me tarakki nahi kar pate aur ve log hamse aage nikal jate hai jo sakaratmak vichar rakhte hai.

Jo apne man me nakaratmak vichar nahi rakhte.hamesa sakaratmak vichar rakhte hai unka manobal hamesa bana rahta hai.aur ve apne jivan me tarakki karte rahte hai.unka viswas hamesa bana rahta hai.viswas hone ke karan ve badhe se badh kam bhi aasani se kar lete hai.

Ensan kitna bhi tagat var kyu na ho yadi uske andar nakaratmak vichar hai usko apne upar viswas nahi hai to wah kabhi bhi safalta prapt nahi kar pate. eske viprit yadi ensan kamjor hai aur sakaratmak soch rakhta hai uske andar hamesa viswas bana rahta hai to use jivan me safalta milti rahti hai.Ese ham ek chhoti si kahani ke madyam se samajhne ka pryas karte hai.

Ek aadmi bahut badhe bhari bharkam Hathi ko Rassi se bandh kar kahi ja raha tha raste me logo ne dekha ki etna bhari v tagat var hathi ko yah kaise lekar ja raha hai. hathi bhi esse rassi  todhne ka priyas nahi kar raha hai.

tab be log us Hathi ke malik ke pas gay aur unse puchhne lage ki tum etne tagatvar hathi ko kaise rassi se bandh kar le ja rahe ho ye hathi apni rassi ko kyo nahi todh raha hai.tab us aadmi ne logo ko bataya ki bachpan se mai ese rassi se bandh kar rakhta tha tav chhote me esne rassi ko todhne ki kosis ki magar use todh nahi paya kyoki wah chhota tha.usme tagat kam thi.

Es tarah hathi ne bachpan se kai bar rassi ko todhne ki kosis ki magar rassi nahi tuti es karan usne rassi ko todhne ka pryas karna band kar diya.wah sochne laga ki rassi nahi tutegi. Hathi ne apne man me yah dharna bana li ki rassi mujhse nahi tutegi uska man nakaratmak vicharo se bhar gaya aur usne pryas karna band kar diya.

Aisa hi kuchh Ham logo ke sath hota hai jab ham kisi kam ko nahi kar pate to hamare man me nakaratmak vichar aane lagte hai.ham apne man me yah dharna bana lete hai ki ham yah kam nahi kar sakte aur use karne ka pryas band kar sete hai jis karn ham wah kam nahi kar pate.yadi ham apne man se nakaratmak vicharo ko tyag de to hame safalta mil jati hai.kyoki ham kam ko to kar sakte hai par apne man me aisi dharna bana lete hai ki ham yah kam nahi kar sakte.

Nakaratmak vichar Hmare kam karne ki shakti ko kam kar dete hai.yadi ham chahte hai ki ham har kam ko aasani se kar sake aur usme hame safalta mile to hame apne man se nakaratmak vichar ko tyagna hoga aur apne man me hamesa viswas lana hoga ki ham yah kam kar sakte hai. 

No comments:

Post a Comment