Friday 21 December 2018

varish (Utradhikari) , Inheritor, Beti (Doughter)





एक बार एक व्यक्ति की मृत्यु हो जाती है, उसके बाद उसके  शरीर को दाह संस्कार करने के लिए उसके परिवार वाले लेकर जाते हैं और वहां पर एक व्यक्ति आ जाता है और पार्थिव शरीर को पकड़कर कहता है कि जब तक मेरे पैसे नहीं मिल जाती मैं इनका अंतिम संस्कार नहीं करने दूंगा| क्योंकि मरने वाले ने मुझसे 1000000 रुपए कर्ज लिया है और जब तक वह  मुझे वापिस  नहीं करते| मैं इनका अंतिम संस्कार नहीं करने दूंगा यह सुनकर मरने  वाले व्यक्ति के लड़कों ने कहा की इस बारे में मेरे पिताजी ने मुझे कभी नहीं बताया| इसलिए मैं तुम्हें पैसे नहीं दे सकता| यह बात मरने वाले व्यक्ति के घर तक पहुंची और महिलाओं को भी  पता चला| उसके घर में एक बेटी थी|  उसने कहा कि मेरे पास जो भी पैसे हैं और जेवर है यह सारे ले लो लेकिन मेरे पिताजी का अंतिम संस्कार होने दीजिए इसके बाद भी आपकी जो भी पैसे हैं| मैं चुका  दूंगी| जब तक मैं जीवित रहूंगी  आपके पैसे आपको चुकाती रहूंगी|  जैसे ही यह बात उस व्यक्ति ने सुनी जो अंतिम  संस्कार नहीं होने देना चाहता था उसने कहा कि दरअसल बात कुछ और ही है मरने वाले ने मुझसे ₹1000000 कर्ज नहीं लिया बल्कि मैंने इन से कर्ज लिया है और मुझे मालूम नहीं था कि इनका बारिश कौन है जिससे कि मैं इनके पैसे वापस कर सकूं और आज मुझे पता चल गया है कि इनका  बारिश इनकी बेटी है ना कि इन के बेटे| यह सारी बात वहां पर खड़े बेटे सुन रहे थे और उनका चेहरा शर्म से झुक गया खुशनसीब होते हैं वह लोग जिनके घर में बेटियां होती हैं बेटियां कभी बोझ नहीं होती बेटियां कभी भी अपने मां-बाप की आंखों में आंसू नहीं देख सकती यहां पर यह कहने का बिलकुल  मतलब नहीं है कि बेटे  खराब होते हैं कुछ बेटे भी अच्छे होते हैं और वह मां बाप की सेवा करते हैं और उन्हें खुश रखते हैं हमें बेटे और बेटियों को एक समझना चाहिए जो काम बेटे कर सकते हैं वह काम बेटियां भी कर सकती हैं बल्कि बेटियां कुछ ज्यादा ही कर सकती हैं जब भी बेटे अपने मां बाप को दुख पहुंचाते हैं तो बेटियां ही  उनका सहारा बनती है बेटियां अपनी किस्मत लेकर आती है आज देखा गया है कि यदि किसी के घर में 7 बेटे  हैं और एक बेटी है तो एक बेटी की शादी हो जाती है और 7  बेटो की शादी नहीं हो पाती  क्योंकि बेटियां अपनी किस्मत खुद लेकर आती है बेटियां दुर्गा और लक्ष्मी का रूप होती है आजकल लोग लक्ष्मी रूपी  बहू को लेना तो पसंद करते हैं क्योंकि उनके साथ धन दौलत व दहेज़ आता है  लेकिन लक्ष्मी रूबी बेटी को लेना पसंद नहीं करते क्योंकि जब बेटी की शादी होती है तो उनको दहेज़  देना पड़ता है आज कई जगह पर बेटियों  को नहीं पढ़ाया जाता बेटों को पढ़ाया जाता है लेकिन फिर भी बेटियां पढ़ कर बहुत आगे निकल जाती है और आज बेटियां ऊंचे ऊंचे पदों पर हैं बेटियां अपने मां बाप का नाम रोशन करती है  मेरा यहां पर यह कहने का बिल्कुल मतलब नहीं है कि सभी बैठे खराब होते हैं कुछ बेटी भी अच्छे होते हैं और अच्छे लोग हमेशा अच्छे ही कहलाते हैं चाहे वह बेटियां हो या फिर बेटे.......

                                               "बेटी बचाइये  , बेटी को समझिये"

Tuesday 11 September 2018

TET (Teacher Eligibility Test) shikchhak patrta parikchha, yadi aap dene bale hai to aap ke liye




Yah video un logo ke liye hai jo shikchhak patrta parikchha dene bale hai. TET ka pura nam teacher Eligibilty Test hai jise hindi me shikchhak patrta parikchha kahte hai.es video me aap ko TET test se sambandhi jankari mil jaygi.sath hi sath aap ko teacher banne ka mahatv pata chal jayga.shikchha dene bale ko shikchhak kahte hai.sisy ke man me sikhne ki ekchha jagrit karne bale ko shikchhk kahe hai .shikchhak hi desh ka nirmata hai. Ek aadars shikchhak kaisa hota hai ya hona chahiye yah sab es video me bataya gya hai.TET test sabhi rajyu me hote hai.jinke niyam lgbhag lgbhag ek se hote hai par kahi kahi par alag alag bhi ho sakte hai yah sari jankari aap ko es video ke madyam se prapt ho jagyi.mai aasa karta hu ki aap ko yah video pasand aayga 

Saturday 8 September 2018

janiye Eclampsia kya hai

Eclampsia garbhati avastha [pregnancy] me hone bali ek gambhir bimari ka nam hai. Eclampsia prayha un mahilao ko hone ki sambhavna jyada rahti hai jo garbhavasta se porv madumeh uccha rakt chap [high blood  pressure] [kuposhad yakrit karog pilia placenta adi se pidit hoti hai


Eclampsia ke lakshan
    
[1]  Garbhavstha ke dauran vajan ka badna ek samany prakriya hai .12ve saptah ke bad prati saptah 500gm vajan ki vradhi hoti hai parntu jab vajan bahut tej gati se badne lage to eska lakshan ho sakta hai.

[2]  samantha 4 -5 mah me ulti ka hona band ya phir kam ho jata hai parantu ulti eske bad lagatar bahut jyada hoti rahe to eska lakshan ho sakta hai.
   
[3] pairon me sujan aana aam bat hai lekin jab yahi poore sharir me aur chahare me aa jaye to yah ho sakta hai.

  [4] yurin me protin ki matra bahut adhik badh jati hai kidney me enfaksan ho sakata hai.

      [5] blood discharge adhik hona ,body ka neela padhna,aakhon se dikhayi na dena,aavaj ka dab jana ho sakate hai 
aesa koe bhi lakshadh dikhai dene par turnt doctor se slah le. 

               KUSHAL JIVAN KA RASTA SAVDHANI SE HOKAR GUJARTA HAI

Thursday 6 September 2018

माँ (Mother)



मां बनना हर औरत के लिए सौभाग्य की बात होती है मां बनने से औरत को एक नई पहचान मिलती है एक नया नाम मिलता है जब बच्चा मां बोलता है तो ऐसा लगता है मानव दुनिया की सारी खुशी मिल गई मां बनना हर औरत का दूसरा जन्म माना जाता है तभी तो मां का स्थान दुनिया में सबसे ऊंचा माना गया है मां बनने के लिए जो 9 महीने का समय लगता है इन 9 महीने में औरत को कई प्रकार की समस्याओं का सामना करना पड़ता है जैसे सुबह बिस्तर से उठते ही जी मिचलाना कब्ज होना बार बार मूत्र त्याग की समस्या खाना ना पचना बार बार उल्टी होना पैरों में सूजन आना कमर में दर्द होना सीने में जलन होना गैस बनना हम अपना थोड़ा सा ध्यान रखकर इन समस्याओं से होने वाली परेशानियों को कम कर सकते हैं जैसे सुबह बिस्तर से उठने से पूर्व ही भुने चना या बिस्किट आदि खा लेना चाहिए इससे सुबह होने वाली मिचली से बचा जा सकता है ज्यादा मिर्च मसाले वाला भोजन नहीं खाना चाहिए खाना रात को सोने से 1 घंटे पूर्व खा लेना चाहिए रात को खाने में दही आदि ठंडी चीज नहीं खाना चाहिए कोल्ड ड्रिंक ना पिए खाली पेट ना रहें थोड़ी थोड़ी देर में कुछ खाते रहें रात को दूध में मुनक्का (बड़ी किशमिश) डालकर पिए खाना में छिलके वाली दाल रेशेदार दाल सब्जियां फल साग चोकरयुक्त आटे से बनी रोटियां खाएं ज्यादा समय तक खाली पेट ना रहे सुबह उठकर टहलना जरूरी है  पैरों को गुनगुने पानी में थोड़ी देर डालें गुनगुने तेल में हल्के हाथों से पैरों की मालिश करने से  सूजन तथा दर्द में आराम मिलेगा चाय-काफी कम पिए बार-बार सीढ़ियां चढ़ने से बचें वजन ना उठाएं झटके से कोई काम  ना करें खाना मे मेवा  दूध दही सब्जियां खाएं 9 वा महीने शुरू होने पर एक गिलास गर्म दूध में एक चम्मच घी डालकर पीना शुरू कर दे किसी भी प्रकार का तनाव ना लें खुश रहें लगातार काम ना करें काम के बीच बीच में आराम भी जरूर करें ढीले कपड़े पहने हील वाली सैंडल ना पहने ज्यादा भीड़ भाड़ शोरगुल वाले स्थान में जाने से बचें सर्दी जुखाम बुखार आदि होने पर डॉक्टर से परामर्श करें याद रहे जब आप स्वस्थ और खुश रहेंगे तभी एक स्वस्थ शिशु को जन्म दे पाएंगे

                       हर दर्द को सहकर भी खुस रहती है इसलिये तो माँ सबसे बढ़कर होती है 

Sunday 2 September 2018

Kanha...




Janmastmi ke din Bhagvan Shree Krishna ji ka janam huaa tha .Janmastmi ko Bharat me hi nahi puri Duniya me manaya jata hai. yah parv har sal Rakchhabandhan ke aathve din manaya jata hai.sri  krishna solah klaon se purnd the. unaka janm  Bandi grah me hua aur palan posn mata yashoda aur nand baba ke pas bahut hi lad pyar se hua .unke jeevan me paristhi kitni hi visam kyon na rahi ho har bar unka samna unhone bahut hi dhary aur sahas ke sath kiya unhone hum sab ko yah perna di ki prem se aur khush rahna chahiye .hamesa saty ke path par aage badhna chahiye agar is patha par hamare apne bhi rasta roke to hume peechhe nahi hatna chahiye . unka diya hua Geeta ka updes yugon tak Amar rahega aur sri krishn hamesa har manav ka aadarsh rahegne . 

Kuchha log  unke jeevan me bahut si kamiya nikalte han jese ki vah bachpan me makhan ki chori karte the to fir hum kun nahin kar sakte pr ve ye bhul jate hay kii Nand baba ke ghar me ak lakha gay thi aur nau man makhan prati din hota tha vah to bas gopiyon ko khush karne ke liye aesa karte the  kyon ki jis gopi ke ghar se vah makhan kha  iete the  usko kai janmo ka puny ek sath mil jata tha .unke murli ki dhun etni madhur thi ki sara gokul gavn usme mantr mugdha ho jata tha aur sab sudh budh kho kar nrity karne lagate the . unhone apne mama kans ka vadha kiya kyon ki vah bahut hi papi atyachari dusht shasak tha .Shri Krishn ki solah so Raniya aur aath pat raniya thi par wastav me wah solah so Raniya ek dust Raja ke yaha kaid thi Shree Krishn ne un solah so Raniyu ko bandi grah se mukt kiya tha. aur wah Raniya hath jodhkar krishn se nivedan karne lagi ki he prabhu ham kha jaynge es samaj me hame koi nahi apnayega es lia ab aap hi hame apni saran me li jiye es prakar se Shri Krishn ne un par daya dikhate hua unhe apna liya aur unhe patni ka darja diya.Ranh bhumi me jab Arjun apno ko samne dekhkar ke vichlit ho gay tab Shee Krishn ne unhe Geeta ka updesh diya.

                        NAND KE AANAND BHAY JAI KANHAIYA LAL KI.

Wednesday 22 August 2018

DIABETES ( Madhumeh)



kya aap Diabetes (Madhumey) se paresan hai to aap apni es paresani ko puri tarah bhul jaiye kyuki mai batane ja rahi hu aap ko kuchh aise upay jise apna kar aap puri tarah se swasthy ho jaynge .vastav me jise ham bahut badhi bimari man kar baithe hai ye koi bimari hai hi nahi hamare sarir me jab sugar ka leval kam ya jyada hone lagta hai to ese ham sugar ki bimari ka nam de dete hai. karan hota hai sarir me insulen ka theek prakar se na banna.

           Ham apne jivan saili mai kuchh badlab lakar ese theek kar sakte hai aur fir Hame roj roj daba khae ki bhi koi jarurat nahi hogi.sabse pahile subah uth kar ghumna tahlna vyayam yog aadi karna chahiye niyamat ghumne vyayam yog aadi karne se aap ke sarir me jo susti aa gai hai wah dheere dheere door ho jaygi aur aap punha apne aap ko halka mahsus karoge.

           Diabetes me khane peene ka bahut prabhav padhta hai esliy es par dyan dene ki vises jarurat hai par ese man me bahut bhari roop se na le nahi to aap ka man bar bar vahi khane ko karega jo aap ko nahi khana hai.

           Agar aap ko khane me daliya pasand hai to aap gehu ke daliya ki jagah par jau ka daliya khay kyo ki jao me starch ki matra suny ke barabr hoti hai ese aap bhar pet kha sakte hai aur ye bilkul bhi nuksan nahi karta hai aur roti bhi gehu ki jagah jao, chana aur gehu teeno ko aap barabr matra me lekar pisaiye aur fir esse bane aata ki rotiya khaiye.

         peene ki agar ham bat kare to hame cold drink,falo ke joos ko nahi peena hai. dudh dahi mattha ko bina sakkar ke lijiye. Dudh bina milai bala hona chahiye Ek cup garam Dhudh me subah sam ek chhoti hammach haldi dalkar peene se faida hota hai. sabjiyo se bane joos ko ham pi sakte hai. sabjiyu me aalu ko chhodh kar sabhi sabjiya kha sakte hai. karele ko khane me jarur samil kare. adrak ko chheel kar uske chhote chhote pees kar lijiye aur thode thode der me ek tukda apne muh me rakhkar uska ras chuste rahiye.

       sakkar ya gudh se bani koi bhi cheej nahi khani hai . 
                 chaval nahi khana hai aur agar kabhi  khana hi ho to use bhagone me jyada pani rakhkar pakay aur pakne ke bad uska atirikt pani yani ki madh (starch) nikal dijiye. es aap kha sakte hai.

     Chirayto ki lakri ko lekar uske chhote chhote tukde kar lijiye aur teen char tukde lekar rat ko ek gilas pani me dal dijiye aur subhay uthkar es pani ko pi lijiye pani ka swad kadva ho jayga.

           Methi dana ek chammach lekar rat ko ek cup pani me dalna hai aur subah uska pani pina hai aur agar methi rat ko pani me nahi dal pay hai o aise hi aadha chammach methi apne muh me dal lijiye aur uska ras chooste rahiye agar aap use chava sake to dheere dheere use chavaiye aur bad me pani pi lijiye.

       Neem ke pedh ki jo kopal pattiya hoti hai wah aap subah subhay 15 se 20 pattiya khaiye 
 sada bhar paudhe ki teen char pattiya lekar use muh me dalkar unka ras chusna hai.

      khana ko ek sath na kha kar thoda thoda din me teen char bar khaiye khane me salad ko jarur samil kare, chana niyamit rup se jarur khay, aadha cup ankurit mung ko salad ke sath mix karke khay.

       falo me aam aur angur ko chhodh kar sabhi fal kha sakte hai. kachcha kela khane se fayda karta hai.

       jamun aap man bhar ke kha sakte ho ye eske liye bahut fayde mannd hai agar jamun na mil sake to uski guthliyu ka churan kharid le aur din me teen char bar ek chhoti chammach khay.

    meva me kismi ko nahi khana hai .

  jitne bhi upay maine yaha likhe hai agar enme se aadhe se aadghe bhi -aap ne apne din chariya me samil kar liya to yakin maniye ek saptah mi eska fayda samajh me aayga aur mahine bhar ke andar aap ko sugar ki dava khane ki jarurat nahi hogi aap bina dava ke bhi ek swasth aur khushal jivan ko ji sakenge

                       Swasth rahiye, Khus rahiye , Hamesa muskurate rahiye.                                                                

Monday 20 August 2018

BACHPAN




Bachpan ki yade kitni pyari hoti hai. kyuki Bachpan tanav mukt hota hai. Bachpan me bachche apne man ke Raja hote hai, unhe kisi se dar bhay nahi hota . be kisi ki parvah nahi karte aur apna jivan Mast tarike se jeete hai.  kabhi kabhi to Bachpan ki yado me kho kar aakho se Aansu aa jate hai.

             Bachpan ek aisi umar hoti hai, jab vager kisi tanav ke Masti se Jindagi ka Aanand liya jata hai. Bachpan me koi gam nahi hota, koi Dukh nahi hota aur na hi kisi bat ka tanav hota hai. Bachpan me kisi bhi bat ka Dabab nahi hota.

              Bachpan me bachcho ke chahre par hamesa muskurahat hoti hai be vekhop hote hai. Bachpan bachche ruthte hai ,muskurate hai.kisi bat ko lekar apni jidd par aadh jate hai.

              Bachpan me bachcho ko manane ka silsila chalta rahta hai. kabhi kabhi to bachche aisi jidd par aadh jate hai jisko pura karna asambhav hota hai par unhe bahla fusla kar mana liya jata hai. kabhi kabhi to bachche chand ko hi mangne lag jate hai. kyuki bachche nadan hote hai ve nahi jante ki kya sambhav hai aur kya aasambhav.

                 kabhi kabhi to hame bhi apne bachcho ke sath bachcha banna padhta hai. unke chahre par muskurahat lane ke liye. Bachcho ko hasana unhe manana bhi ek kla hoti hai jo har kisi ko nahi aati. kabhi kabhi to log bachcho ki banto par Gussa hone lagte hai. be apni sahan silta ko hbula dete hai.par ye galat hai logo ko aisa nahi karna chahiye kyuki bachche to nadan hote hai. hame unke sath nadan nahi banna chahiye.

               Bas Ek Maa hi hai jo apne bachcho ko samajh sakti hai kyuki Maa ka rista bachche ke janam ke pahile se hota hai.wo apne bachche ko no mahine pet me palti hai. aur uske chahre par kabhi bhi udasi nahi aane deti.

Sunday 3 June 2018

Why the prices of products are kept in the figures of 99,199,299,399,499,599 ....etc





Jab bhi aap bazar jate hai to aap ne dekha hoga ki product ki kimat aksar 99 ke figure me hoti ha jaise ki 99/- , 199/- ,299/- ,399/-, 499/-,599/-  Etc. Aksar utpado ya products ki kimat 1/- kam karke Rakhi jati hai.

              Aap ke man me sabal uthta hoga ki Etne badhe shop me product ki kimat 1/- kam karke kyu rakhi jati hai produkt ki kimat Round figure me kyu nahi rakhte hai dekhne me to yah bahut chhoti bat lagti hai par yadi gahrai se aur gambhirta se socha jay to bahut badhi bat hoti hai.

  Product ki kimat Ek rupay kam rakhne ka karan hota hai profit ko jyada karna. ab aap ke man me sabal uth rahe honge ki shop bale product ki kimat Ek rupay kam karke bench rahe hai to unhe Loss hona chahiye fir Profit kaise hoga.

kabhi kabhi jaisa ham sochte hai vaisa nahi hota aur jo ham nahi soch pate vaisa hota hai. shop par product ki kimat Ek rupay kam karne se Logo ki mansikta badal jati hai aur Logo ko lagta hai ki product ki kimat kam hai. man lijiye aap shop par Ghadhi (watch ) kharidne jate hai jis par 899/- ka price tag laga hota hai.

To kuchh der ke liye aap ko lagega ki Ghadhi ( watch ) ki kimat 800/- rupay hai kyuki aap kisi bhi product ki price ko Left se padhna suru karte ho baki ko ham roun figure man lete hai. jisse ki ham Dukan ki taraf aakarsit hote hai kyuki hamara mind price ko kam samjhta hai. Asal me dekha jay to product ki kimat Ek rupay kam 900/- hoti hai.

Product ki kimat Ek rupay kam rakhne ka dusra karan hota hai 1/- ka profi hona kyuki jyadatar log Ek rupay vapis nahi lete.

Upar diye gay video me bistar se samjhaya gya hai ki shop par product ki kimat Ek rupay kam karke kyu rakhi jati hai......

Friday 1 June 2018

Janiye Manhani Kanun kya hai , Defamaion Law





Dhara 499 IPC ke anusar kisi ke bare me kuchh galat bolna, uske liye Apman janak sabdo ka upyog karna, uske samman ko girana , uski pratistha ko girana, Apman janak comments karna, apman janak bante likhna,ya prakasit karna, kisi ke bare me kuchh galat Apvah failana, kisi ko galat bante kah kar badnam karna aadi ko Manhani mana ja sakta hai.

Ek vyakti ke liye uski Ejjat bahut mayne rakhti hai fir chahe wah vyakti Garib ho ya Ameer Esse koi farak nahi padhta. kyuki vyakti apni Ejjat banane  me salo laga deta hai.Agar koi dusra vyakti kisi ki pratistha ko giray, use ve ejjat kare, uska apman kare ya use gali de ,us par jhuthe aarop laga kar use badnam kare, uske samajik samman ko thhes pahuchay use neecha dikhane ki kosis kare ,use jhutha veiman kahe, yah sab Manhani ke antargat aata hai 

Fir chahe yah sab samne ho ya peeth pichhe, ya fir Internet par ho. Agar koi vyakti Social site par bhi kisi ke bare me apman janak comments karta hai  to yah manhani ke antargat aata hai . aisa karne par us vyakti ko Saja ho sakti hai ya fir jurmana lagaya ja sakta hai ya fir dono hi lagaye ja sakte hai. kyuki yah apradh mana jata hai.

Eske alava agar kisi vyakti me koi kamiya hai aur koi dusra vyakti uski kamiyu ko batata hai jo ki satya hoti hai to wah Manhani ke antargat nahi aata hai. Udharan ke liye agar koi dukandar kharab saman benchta hai aur koi dusra vyakti kahta hai ki uski dukan se saman nahi kharidna kyuki yah kharab saman benchta hai to yah manhani ke antargat nahi aayega. chor ko chor kahna sarabi ko sarabi kahna manhani ke antargat nahi aayega fir bhi wah vyakti kahne bale par manhani ka case kar sakta hai jis par case kiya hai use sabooto ke sath sidh karna hota hai ki jo usne kaha wah sahi hai 

Aap upar diye gay video ko dekhkar manhani ke kanun ke bare me jan sakte hai....

Thursday 31 May 2018

Know, What is consumer forum.? and How to complain.? CONSUMER COURT





Aaj jab bhi ham bajar se kuchh saman kharidne jate hai to ham aksar dekhte hai ki dukandar hamare sath kuchh dhokha karte hai ya fir jab bhi ham online shoping karte hai to hamare sath kabhi kabhi dhokha ho jata hai ham jo saman mangwate hai wo na aakar hame koi aur saman bhej diya jata hai.aise hi kai tarike se hamare sath dhokha hota hai 

yadi hamare sath koi dukandar, company ya distributer ya service provider hamare sath koi dhokha karti hai to ham apni sikayat Upbhogta forum ya consumer court me kar sakte hai aur apne nuksan ki bhar pai kar sakte hai.

kabhi kabhi hamare Ghar ka bijli ka bill etna jyada aa jata hai jitna ki hamne use hi nahi kiya kabhi kabhi to aisa bhi sunne ko aata hai ki jiske Ghar Electricity ka connection hi nahi hai aur uske Ghar ka  Bijli ka bill Lakho me aa jata hai.

kabhi kabhi telecome company hamara balance kat leti hai aur hame pata hi nahi chal pata aur jab ham es bare me costomer care se bat karte hai to hmari bat koi nhi sunta hai yadi aisa hota hai to ham apni sikayat consumer forum ya court me kar salte hai 

upbhogta forum ya consumer court Ek aisa Departemt hota hai jo Grahak ke sath hua nuksan ki bharpai karata hai.aur jo dhokha deta hai us par penalti lagata hai.ya use saja dilata hai.upbhogta forum ya consumer court me sikayat karne ki fees bahut kam hoti hai.

upbhogta forum ya consumer court me ham apni sikayat char tarike se kar sakte hai.phla tarika hai offline Application dekar. dusra tarika hai phone karke. teesra tarika hai SMS ke dwara. aur chotha tarika hai online form summit karke..

upbhogta forum ya consumer court me sikayat karne ki sari prakriya upar diyegay video me btai gai hai Aap video ki sahayata se apni sikayat kar sakte hai. 

                                                           JAGO GRAHAK JAGO

Tuesday 29 May 2018

Direct Contact With PM Online For Any Problem , Suggestion and Complaint





yadi aap ki koi samasya hai . ya fir aap pradhan mantri ji ko koi salah dena chahte hai ya fir aap ki koi shikayat ho. to aap Direct pradhan mantri ji se online sampark kar sakte hai. wo bhi apne Ghar par hi baithkar apne computer , Mobile ,tablet ya Laptop ki sahayta se.

Pradhan mantri ya PM se apne samasya ko batana ya unhe koi salah dena ya fir unse koi sikayat karna ya fir unse direct sampark karna bahut hi aasan hai. aaj takniki ka jamana hai ham takniki ya Technology ki sahayta se aasani se PM se sampark karke apni samasya ko bta sakte hai

Aaj har jagar bhirastachari  faili hue hai aur kahi kahi par karamchari apne kartavy ka palan nahi kar rahe hai. yadi aap sarkari ya Gaisarkari office jate hai to aap ka kam nahi hota  aur aap ko bar bar office ke chakkar katne padhte hai.

Aise me sabal uthta hai ki ham apni sikayat kisse kahe yadi ham usi office ke adhikari se sikayat karte hai to bhi hamari bat koi nahi sunta hai. aur adhikari hamari bat ko ansuna kar dete hai.kyuki sabhi jagah mili bhagat hoti hai. par aisa sabhi jagah nahi hota hai. kahi kahi par karmchi apne kartavy ka Emandari se palan karte hai par kahi kahi par kuchh karmchri apne kam se jee churate hai. aise logo ki sikayat yadi ham unhi ke adhikari se karte hai to mili bhagat hone ke karan hame aur bhi paresan kiya jata hai.

Par ab aap Direct pradhanmantri ji ya PM se sikayat kar sakte hai par kaise. yah upar diye gay video me bataya gya hai PM se sikayat karne ki sari prakriya ko upar diye gay video me bataya gya hai aap video ki sahayta se direct PM se apni sikayat kar sakte hai ya unse sampark kar sakte hai.

Saturday 26 May 2018

How to Registered Family and Member in Samagra ID at Home , MAKE SAMAGRA ID




Aab aap apni samagra id khud hi apne Ghar par hi baithkar bana sakte hai. Eske liye aap ko sarkari daptar me chakkar katne ki jarurat nahi hai. Apni samagra id kaise banate haiaur apne pariwar ke sadasy ka name kaise jodhte hai yah sari prakriya upar diye gay video me bataya gya hai aap uski sahayta se apni samagra id khud bana sakte hai.samagra id ko banana bahut aasan hai

samagra id banate samay aap ko apne pahichan ke dastavej upload karne honge yah sari prakriya upar diye gay video me bataya gya hai.jiski sahayta se aap apni samagra id khud bana sakte hai.

Samagra id ek aisi pahichan jiski hame aksar jarurat padhti hai. fir chahe sarkari yojnao ka labh lena ho ya fir bachcho ka school me pravesh dilana ho. hame sabhi jagah samagra id, Pariwar id ,.Member id ki aavasyakta padhti hai.

Samagra id ek pahichan ki id hoti hai jo ki Aadhar ki hi tarah hoti  hai arthat esme Aadhar card ki hi tarah ek Number hota hai. jo ki hamari pahichan ke kam aata hai. esme Pariwar ke mukhiya ka name hota hai aur pariwar ke sabhi member ka name hota hai.

Samagra id prapt karne ke liye aap ko sarkari office me jane ki jarurat nahi padegi aap Ghar par hi baithkar apni aur apne pariwar ki samagra id aasani se bana sakte hai

samagra id apne Ghar pa hi banane se aap ka samay bachega aur aap ko office ke chakkar bhi nahi katna padhega .

How to correction in samagraid at home , Samagra ID Correction





Yadi aap ki samagra ID me kuchh galat hai to ab aap apne Ghar par hi baithkar sudhar kar sakte hai. Eske liye aap ko sarkari office me chakkar katne ki jarurat nahi hai. sarkari daptar me sarkari kary jyada hone ke karan  computer operater unhi kamo me vyast rahte hai aur aap ka kam nahi ho pata jisse ki aap ka kafi samay barbad ho jata hai.

Par ab sarkar ne aap ko Ek aisi suvidha de di hai jiske dwara aap apne Ghar par hi Baithkar apni samagra id me sudhar kar sakte hai.

yadi aap ki id me name galat ho, ya Gender galat ho, ya date of birth galat ho, ya mobile number galat ho ,ya fir Aadhar Number jodhna ho. ye sab kam ab aap apne Ghar par hi baithkar Apni samagra id me sudhar kar sakte hai.

samagra id me kaise sudhar karte hai ye upar diye gay video me bataya gya hai. jiski sahayta se aap apni samagra id me aasani se sudhar kar sakte hai.samagra id me sudhar karne ki prakriya upar diye gay video me bataya gya hai.

samagra id me sudhar samagra portal par jakar kar sakte hai. sudhar karne ki prakriya bahut aasan hai. Upar diye gay video me sari prakriya ko bataya gya hai...

How to Download Samagra ID by Name , DOWNLOAD SAMAGRA ID





Samagra id ek aisi pahichan jiski hame aksar jarurat padhti hai. fir chahe sarkari yojnao ka labh lena ho ya fir bachcho ka school me pravesh dilana ho. hame sabhi jagah samagra id, Pariwar id ,.Member id ki aavasyakta padhti hai.

Samagra id ek pahichan ki id hoti hai jo ki Aadhar ki hi tarah hoti  hai arthat esme Aadhar card ki hi tarah ek Number hota hai. jo ki hamari pahichan ke kam aata hai. esme Pariwar ke mukhiya ka name hota hai aur pariwar ke sabhi member ka name hota hai.

Esme Pariwar ka ek Number hota hai jo ki Pariwar id kahlata hai. aur us pariwa ke sabhi sadasy ka alag alag Number hota hai jo ki sadasy  id kahlata hai. ye ID hamari pahichan hoti hai. sarkari yojnao ke liye ya gair sarkari karyo ke liye hame eski aavasyakta padhti hai.

Pariwar ID ya Sadasy ID kaise prapt karte hai. yah upar diye gay video me bataya gya hai.Aap eski sahayta se apni aur apne pariwar ki samagra id prapt kar sakte hai.yadi aap ko apni aur apne pariwar ki ID malum nahi hai to aap Name se bhi apni aur apne pariwar ki samagra ID prapt kar sakte hai.

Samagra id prapt karne ke liye aap ko sarkari office me jane ki jarurat nahi padegi aap Ghar par hi baithkar apni aur apne pariwar ki samagra id aasani se prapt kar sakte hai

Samagra id prapt karne ki sari prakriya ko upar diye gay video me bataya gya hai jiski sahayta se aap apni aur apne pariwar ki samagra id ko aasani se prapt kar sakte hai.aap ko sarkari office ke chakkar katne ki aavasyakta nahi hai . wha par sarkari kam jyada hone ke karn computer operater unhi kamo me vyast rahte hai jis karan aap ka kam nahi ho pata  aur aap ka entjar karte karte kafi samay barbad ho jata hai aur kam bhi nahi ho pata.

Es aasan tarike se aap samagra id prapt kar sakte hai........

Wednesday 23 May 2018

HOW TO KNOW LIC POLICY DETAILS BY SMS, LIC sms





Aaj ke badalte yug me log apne aur apne pariwar ke Bhavisy ki surakchha ke liy insurance karvate hai jisse ki unhe aur unke pariwar ko bhavisy me  kis bhi samasya ka samna na karna padhe. kyuki aaj jama kiya huaa Dhan kal ke kam aata hai.

Log apne Baccho ke bhavisy ke liye, unke Education ke liye, unki shadi ke liye thodha thodha Dhan jama karte hai. jisse ki bhavisy me hone bali jarurato ko pura kiya ja sake. eske liye log insurance ki policy lete hai.

Aaj badti hue jansankya ke karan logo ko insurance office me jakar yadi kisi bhi cheej ki jan kari chahiye to unhe line me lagna padhta hai. kabhi kabhi to suvah se lekar sam ho jati hai fir bhi unka number nahi aata hai. yah samasya har jagah nahi par kahi kahi aa jati hai.aaj ke samay me logo ke pas time ki bhi kafi kami hoti hai.

Es samasya ke samadhan ke liye upar diye gay video me bataya gya hai ki kaise Aap message ya SMS bhejkar apni LIC policy ki Details ko pata kar sakte hai.eske liye aap ko LIC office jane ki bhi aavasyakta nahi hoti aur aap apne Ghar par baithkar hi apne Phone se message ya sms bheej kar apni lic ki policy ki detail pata kar sakte hai.yah bahut hi aasan hai.

Message ya SMS ke dwara aap apni policy ki premium ki jankari le sakte hai ,sms ke dwara aap apni policy ki Loan ka status jan sakte hai, SMS ke dwara aap apni policy ki Bonus ka pata kar sakte hai.SMS ke dwara aap apni policy ki Revival ko jan sakte hai, SMS ke dwara aap apni policy ke Nomination ko jan sakte hai.

En sari suvidhao ka labh aap apne phone se Message ya SMS bhejkar le sakte hai... 

Wednesday 16 May 2018

Pay Electricity Bill Online, Janiye Ghar par Baithkar bijli ka bill kaise jama kare





jab aap ke bijli ka bill aata hai tab aap use jama karne bijli daptar ya Electricity office jate hai tab aap vha par dekhte hai ki logo ki kafi bheedh jama rahti hai.aur aap ko bhi bheedh ke sath line me lagna padhta hai. jis karan se kafi samay barbad hota hai.

Bijli ka bill jama karne ke liye jab ham line me lagte hai tab hame kafi dikkato ka samna karna padhta hai aur had to tab ho jati hai jab kai ghanto line me lage hone par bhi hamara number aate aate office band ho jata hai.hamara samay bhi barbad ho jata hai aur hamara kam bhi nahi ho pata.us samay hame badhi gussa aati hai

Aaj mai aap ko aisa tarika batane bala hu jisse aap apne bijli ke bill ko aasani se jama kar sakte hai wo bhi apne Ghar par hi Baith kar yah bahut hi aasan hai.upar diye gay video me Ghar par baith kar hi bijli ke bill ko jama karne ka tarika bataya gya hai

Aap video ki sahayta se bijli ke bill ko jama karne ki prakriya ko jan sakte hai. ye bahut hi aasan hai. aap apne bijli ka bill online jama kar sakte hai wo bhi apne Ghar par hi baith kar jisse aap ko line me lagne ki aavasyakta nahi hai.aur aap ke samay ki bhi bachat hogi.

waise to aaj kal bahut se log apne bijli ka bill online hi jama karte hai. par jin logo ko eski jankari nahi hoti hai unhe apne bijli ka bill jama karne me kafi dikkato ka samna karna padhta hai. lekin ab aisa nahi hoga aap bhi online Electricity bill ya bijli ka bill jama karne ki prakriya ko janiye aur apne kam ko aasan banaiye

Online bijli ka bill jama karna koi badhi bat nahi hai aap esko samajhiye aur apne kam ko aasan banaiye.

How to Found Lost Aadhar Card, Khoya huaa Aadhar card kaise prapt kare





Aadhar card ek aisi jaruri cheej jiski hame har jagah aavasyakta padhti hai.chahe ve sarkari sansthay ho ya phir Gair sarkari sansthay. Aaj har sansthao se Aadhar card ko link kiya ja raha hai.jisse ki har cheej ki clearty bani rahe.aur suvidhao la labh mil sake.

Aaj yadi Aap sarkar ke dwara di ja rahi suvidhao ka labh lena chahte hai to aap ke pas Aadhar card hona chahiye.tabhi aap sarkar dwara di ja rahi sevao ka labh le paynge. yadi aap ke pas Aadhar card nahi hai to aap sevao ka labh nahi le paynge.

yadi aap ka Aadhar card kahi kho jata hai tab aap kya karenge.????

yadi aap ka Aadhar card kahi kho jata hai to aap ko chinta karne ki koi aavasyakta nahi. Aap aasani se apne Aadhar card ko punh prapt kar sakte hai. apne khoy huaa Aadhar card ko prapt karne ka tarika upar diye gai video me bataya gya hai.Aap video ki sahayta se apne khoy hua Aadhar card ko aasani se prapt kar sakte hai.

jab bhi aap kahi safar karte hai ya fir aap kahi jate hai tab raste me aap ka Aadhar card kahi kho jata hai ya fir chori ho jata hai.ya fir aap apne Aadhar card ko kahi rakhkar use bhul jate hai. aur jab aap ka Aadhar card nahi milta tab aap bahut paresan ho jate hai. Aap chinta karne lagte hai.aap ko lagta hai ki ab mera kya hoga mai sarkar ke dwara di ja rahi suvidhao ka labh nahi le paunga. lekin aisa kuchh nahi hai kyuki aap apne Aadhar card ko punha prapt kar sakte hai.wo bhi badhi aasani se Ghar par hi baithkar.

yadi aap ka Adhar card kahi kho gaya hai to aap paresan mat huiye Aadhar card ko prapt karne ki prakriya ko janiye aur use prapt kijiye par chinta mat kijiye Niras mat huiye kyuki kahte hai es sansar me har samasya ka elaj hai.

Make a New Account on IRCTC Website




Jab bhi aap kahi yatra karne jate hai tab aap ko yatra karne ke liye train ka ticket lena padhta hai.eske liye aap ko kafi der tak railway station kebooking counter par kafi der tak line me khada hona padhta hai.aur kafi dikkato ka samna karna padhta hai.

Kabhi kabhi to logo ki bhidh etni jyada hoti hai ki hamara number hi nahi aa pata aur hamari train miss ho jati hai aur ham samay se yatra nahi kar pate aur hame Raiway station ke platform par hi samay bitana padhta hai.

  Yadi Aap chahte hai ki yah sab aap ke sath na ho to aaj hi Bhartiy Ral ki website par apna naya account banay aur Ghar par hi baithkar apneticket ki booking kare. IRCTC ya Bhartiy Rai ki website par account kaise banate hai yah upar diye gay video me bataya gya hai.Aap video ki sahayta se Bhartiy Rai ki website par apna naya account bana sakte hai aur apna Resurvation kar sakte hai.

Bhartiy Rail ki website par aap ko kafi suvidhay di jati hai esme ticket book karne ke alava aap apne ticket ko cancel bhi kar sakte hai.Aap apne aur apne pariwar ke liye bhi train ki sheet ki booking kar sakte hai.

Aap apni suvidhanusar apni sheet ki booking krwa sakte hai.yadi aap chahe to windo sheet apne Gharpar baithkar hi book karwa sakte hai.ya fir aap chahe to sleepar sheet book karwa sakte hai.

 Eske sath hi yadi aap chahe to AC ka bhi booking karwa sakte hai. jab aap ka account Bhartiy Rai ki website par ban jata hai tab aap ka kam aasan ho jata hai aap ko Raitway station ke ticket counter par jane ki aavasyakta nahi padhti aap seedhe train me jakar apni yatra kar sakte hai.

.......to Aaj hi Bhartiy Rail ki website (IRCTC) par apna account banay aur suvidhao ka labh le. 

LIC Rajistration, LIC ki suvidhao ka labh Ghar par baith kar lijiye





LIC ki website par aap policy ko rajister karke LIC ki suvidhao ka labh le sakte hai LIC ki website par kaise rajister karenge aur unki suvidhao ka labh kis prakar le sakenge en sab ki jankari upar diye gay video me bataya gya hai.

LIC ki website par rajistration karna bahut aasan hai.upar diye gay video ki sahayta se aap LIC ki website par rajistration kar sakte hai

jab aap LIC ki website par Rajister ho jaynge tab aap LIC ki kai suvidhao ka labh aasani se le paynge jaise ki Aap apni policy ka schedule jan sakte hai. aap ne apni policy ki premium kab jama ki thi aur kab jama karna hai. Aap apni policy ka status jan sakte hai.

Aap apni policy ka claim status jan sakte hai. Aap apne Loan ka status jan sakte hai.Aap apni policy ka paid statement jan sakt hai arthat aap apni policy ki jama ki gai rasi ki sari jankari nikal sakte hai.

   Eske sat hi Aap apni policy ki kist ko Ghar par baithkar online jama kar sakte hai. Aap apni policy ki jama ki gai Receipt ko Ghar baith kar hi prapt kar sakte hai.Aap apni policy ke premium calender ko dekh sakte hai.Aap apni policy ki claim History ko bhi dekh sakte hai.

Aise hi bahut sari suvidhay hai jin ka labh aap Ghar par baithkar hi le sakte hai.Aap ko LIC ke office ja kar line me lagne ki aavasyakta nhi hai Aap yah sare kam Ghar par baith kar bhi kar sakte hai jisse Aap ka time bhi bachega.

....to Aaj hi Rajister kijiye. 

Generate Aadhar Virtual ID





Aaj har sarkari aur gairsarkari sevao ke liye Aadhar kard ki aavasyakta padhti hai.Ham apna aadhar card kai jagah use karte hai jis karan Aadhar ke data arthat Aadhar ki jankari leak hone ka ya miss use hone ka dar bana rahta hai.

Pichhle dino kafi aisi sikayte aae hai jisme kai logo ke Aadhar ka data leak huaa hai aur unke data ka galat use kiya gya hai.kuchh log Aadhar ke data ko churakar benchte hai .

Lekin ab aisa nahi ho payga.Eska karan hai Aadhar virtual id.Aap apne aadhar card ki virtual id ko Generate karke uska use kar sakte hai jisse aapke Aadhar ka dat safe bana rahega.aap ke Aadhar ka data leak nahi ho payga aur surakchhit bana rahega.

Aap khud apne Aadha card ki virtual Id ko Generate kar sakte hai arthat khud bana sakte hai.ese banana bahut aasan hai.Aadhar ki virtual id ko kaise generate karte hai. uski prakriya upar diye gai video me bataya gya hai.jiski sahayta se aap kud apne Aadhar card ki virtual ID ko bana sakte hai.yah bahut aasan hai esse aap ke Aadhar card ka data safe bana rahega aur aap es virtual id ka use kar sakte hai.jisse aap ka aadhar number kisi ko pata nahi chalega.

virtual id se aap ki sari jankari gupt aur surakchhit ho jaygi.aap Aadhar ki virtual id ka use sarkari aur Gairsarkari sevao ke liye kar sakte hai.

....to bana lijiye apne Aadhar card ki virtual ID.

Friday 11 May 2018

How to make the right decision , Aise le sahi Nirnay , Nirnay lene ka sahi Tarika




Es video me bataya gya hai ki aap sahi nirnay kaise le sakte hai
Hamare jivan me aisi paristhtiya aati hai jab hame nirnay lene padhte hai.un paristhtiyo me ham confuse ho jate hai aur dar jate hai ghawra jate hai. jisse hamare Decision ka parinam galat savit ho jata hai hame kabhi bhi nirnay lene me darna nahi chahiye salinta se aur thande dimag se soch samajh kar nirnay lena chahiye.

  Es video me yahi bataya gya hai ki aap apni life me kathin paristhtiya aane par Nirnaye kis tarike se le jisse ki aap ka dusro ka aur samaj ka koi nuksan na ho .

hame hamesa muskurate rahna chahiye kyuki muskurate chahre logo ko apni aaor aakarsit karte hai eske vipret jo chahre udas v dukhi hote hai unse log dur jate hai.kyoki jab unke udasi ka karan puchha jata hai to wah bina bajah galat vyavhar karte hai aur chidh chidate hai.

      Hame apne nirnay jyada khusi me v jyada dukh me nahi lena chahiye kyuki es samay ke nirnay galat savit ho sakte hai.eska karan hai jab log khus hote hai aur unse koi kuchh bhi mangta hai to ve bina vajah de dete hai. gusse me liya nirnay galat ho sakta hai kyuki gusse me Ensan andha ho jata hai

   Hame apne nirnay feelings me bhi nahi lena chahiye.example ke liye hame moove dekhna achchha lagta hai par study karna nahi par future me moove kam naho aayge aap ki Education kam aaygi

      Ham jo bhi nirnay le apne aap par v Eswar par viswas karke le..hame apni samasya apne logo ke sath share karni chahiye kyuki sahi salah hi sahi nirnay deti hai.

Tuesday 24 April 2018

How to pay LIC Premium online




Es video me btaya gaya hai ki Aap apne Ghar par baithkar LIC ki kist ko kaise jama kar sakte hai.
Ham sabhi charo taraf dekhte hai to hame public hi public dikhai deti hai.har jagah hame line me khadha hona padhta hai.

jab bhi aap LIC ki kist jama karne office jate honge to vha par aap ko bhidh najar aati hogi aur wha aap ko line me khadha hona padhta hoga. aaj har vyakti ka samay kimti hai wah apne samay ko varvad nahi karna chahta. magar technology ki jankar na hone ke karan use apni LIC ki kist jama karne ke liye line me khadha hona padhta hai jis karan uska samay nast hota hai.

         Aaj ham aapko ek aisa tarika bata rahe hai jisse aap apne ghar par hi baithkar apni LIC ki premium ko jama kar sakte hai.
   
      Eske liye upar diye gay video par click karke Ghar par baith kar LIC ki kist ko jama karne ka tarika jan sakte hai.

Monday 23 April 2018

BURE IRADE




Ek bar ek budhiya apna bhari saman lekar kahi ja rahi thi raste me use ek ghudhsawar mila budhiya ne Ghudsawar se kaha mera saman lekar chalo yah bahut bhari hai.

Ghudhsawar ne kaha yadi mai tumhara saman ghodhe par lekar chalunga fir bhi tum to dheere dheere hi chalogi jisse mera samay barbad hoga.yah kah kar ghudhsawar wha se chala gya.

            thodi der bad Ghudhsawar ne socha ki ho sakta hai ki budiya ke pas kimti cheej ho mai budiya ka saman lekar aage aage chalunga fir thodi der bad bhag jaunga aur wo kimti cheej meri ho jayge.yah soch kar ghudhsawar budhiya ke pas gya. aur bola.

      Lao tumhara saman me lekar chalta hu. par budhiya ne mana kar diya yah sunkar ghudh sabar ne puchha abhi aap mujhse saman le jane ke liy kah rahi thi ab manakyo kar diya yah sunkar budhiya ne Muskurate hua kaha.

    Abhi abhi jo tumne socha hai wahi maine socha hai......

Friday 13 April 2018

CHALAKI KI SAJA


Es sansar me har prakar ke log hote hai kuchh log bahut bhole hote hai aur kuchh log jarurat se jyada chalak. jo log bhole bhale hote hai unhe chalak log thagte rahte hai unse paise lete rahte hai unhe paresan karte rahte hai aur unhe jeene nahi dete. kabhi kabhi to chalak log bhole bhale logo ko karja dekar unhe apna gulam bana lete hai.

Par kabhi kabhi ye chalaki unhe bhari padh jati hai.tav unhe eska ahsas hota hai ki logo ko paresan karne se unhe kitni paresani hoti hai.ek kahavat hai sho sunar ki aur ek lohar ki arthat chalak log bhole bhale logo ko kai bar paresan karte hai par jab aisa samay aata hai ki ve sirf ek bar paresan hote hai unki ek paresani sari paresaniyo ke barabar hoti hai.ese ham ek chhoti si khani ke madyam se samajhne ka pryas karte hai

        Ek bar ek chalak vyakti ne apna kuaa ek bhole bhale vyakti ko bencha. usne bhole bhale vyakti ko kuaa de diya aur usse pase le liy. jab bhola vyakti us kuaa se pani nikalne laga tav us chalak aadmi ne us bhole aadmi se pani chhin liya aur usse kaha ki maine tumhe ye kuaa bencha tha es kuaa ka pani nahi.

Tab wah bhola aadmi paresan ho gaya.usne chalak vyakti se kafi prathna ki kha ki mujhe kuaa ka pani de do lekin chalak aadmi ne use pani nahi diya usne kha ki yadi tumhe pani chahiye to eske tumhe alag se paise dene honge.

tab bhola aadmi bahut paresan ho gaya wah apni samasya lekar Raja ke pas gaya.Raja ne darwar lgvaya . Raja ke darwar me ek tej Dimag bala mantri tha jo garivo ki samasya ko samajhta tha.aur unhe Niyal dilata tha.

jab bhole aadmi ne Drwar me raja ke samne apni samasya btai tab us chalak vyakti ne kaha Maharaj maine ese kuaa bencha tha kuaa ka pani nahi. tav Raja ne kaha yah kaise ho sakta hai. tav chalak vyakti ne kaha ham dono ke beech yahi tay huaa tha.

yah sari bante Raja ka Budhiman Mantri sun raha tha.usne dekha ki bhole aadmi ki aakho se aansu wah rahe hai tav wah samajh gara ki chalak aadmi ne bhole aadmi ko thaga hai.

       Raja ne apne Mantri se kaha ki En ki samasya ko hal karo aur enhe Niyay dilao.tav mantri us chalak aadmi se puchha ki tumne ese sirf kuaa diya tha kuaa ka pani nahi ye bat sahi hai. us chalak aadmi ne jabab diya Haa ye bat sahi hai.

Tab Mantri ne usse puchh ki tumhare anusar kuaa eska hai aur kuaa ka pani tumhar ye bhi bat sahi hai usne jabab diya Haa ye bat sahi hai.tav mantri ne kha ki tum apna pani eske kuaa me kyo rakhe ho ya to tum eske kuaa se apna pani nikal lo ya fir kuaa me pani rakhne ka kiraya ese do.ye bat sunkar chalak vyakti apni hi chalaki me fas gaya aur usne mafi mangi.

Kabhi kabhi chalak vyakti bhi apni hi chalaki me fas jate hai.jisse uska parinam bhogna padhta hai.

NAKARATMAK RASSI


Hamara jivan nakaratmak vicharo se bhara rahta hai jo ki hame aage badhne se rokta hai.ham jab bhi apne jivan me tarakki karne ki sochte hai ye nakaratmak vichar hamare man me aa jate hai aur hame aage jane se rokte hai.jis karan ham apne jivan me tarakki nahi kar pate aur ve log hamse aage nikal jate hai jo sakaratmak vichar rakhte hai.

Jo apne man me nakaratmak vichar nahi rakhte.hamesa sakaratmak vichar rakhte hai unka manobal hamesa bana rahta hai.aur ve apne jivan me tarakki karte rahte hai.unka viswas hamesa bana rahta hai.viswas hone ke karan ve badhe se badh kam bhi aasani se kar lete hai.

Ensan kitna bhi tagat var kyu na ho yadi uske andar nakaratmak vichar hai usko apne upar viswas nahi hai to wah kabhi bhi safalta prapt nahi kar pate. eske viprit yadi ensan kamjor hai aur sakaratmak soch rakhta hai uske andar hamesa viswas bana rahta hai to use jivan me safalta milti rahti hai.Ese ham ek chhoti si kahani ke madyam se samajhne ka pryas karte hai.

Ek aadmi bahut badhe bhari bharkam Hathi ko Rassi se bandh kar kahi ja raha tha raste me logo ne dekha ki etna bhari v tagat var hathi ko yah kaise lekar ja raha hai. hathi bhi esse rassi  todhne ka priyas nahi kar raha hai.

tab be log us Hathi ke malik ke pas gay aur unse puchhne lage ki tum etne tagatvar hathi ko kaise rassi se bandh kar le ja rahe ho ye hathi apni rassi ko kyo nahi todh raha hai.tab us aadmi ne logo ko bataya ki bachpan se mai ese rassi se bandh kar rakhta tha tav chhote me esne rassi ko todhne ki kosis ki magar use todh nahi paya kyoki wah chhota tha.usme tagat kam thi.

Es tarah hathi ne bachpan se kai bar rassi ko todhne ki kosis ki magar rassi nahi tuti es karan usne rassi ko todhne ka pryas karna band kar diya.wah sochne laga ki rassi nahi tutegi. Hathi ne apne man me yah dharna bana li ki rassi mujhse nahi tutegi uska man nakaratmak vicharo se bhar gaya aur usne pryas karna band kar diya.

Aisa hi kuchh Ham logo ke sath hota hai jab ham kisi kam ko nahi kar pate to hamare man me nakaratmak vichar aane lagte hai.ham apne man me yah dharna bana lete hai ki ham yah kam nahi kar sakte aur use karne ka pryas band kar sete hai jis karn ham wah kam nahi kar pate.yadi ham apne man se nakaratmak vicharo ko tyag de to hame safalta mil jati hai.kyoki ham kam ko to kar sakte hai par apne man me aisi dharna bana lete hai ki ham yah kam nahi kar sakte.

Nakaratmak vichar Hmare kam karne ki shakti ko kam kar dete hai.yadi ham chahte hai ki ham har kam ko aasani se kar sake aur usme hame safalta mile to hame apne man se nakaratmak vichar ko tyagna hoga aur apne man me hamesa viswas lana hoga ki ham yah kam kar sakte hai. 

Thursday 12 April 2018

RISTO KI DEEWAL


Riste bahut najuk hote hai hame enhe samal kar rakhna chahiye.kuchh log risto ki ahamiyat ko nahi samajhte jis karan unke riste kamjor hote jate hai aur tut jate hai.risto ki dor hame ek dusro se bandhe rahti hai.thodha sa bhi dyan na dene par wah tut jati hai.

Har kisi ka ye sara jivan risto ke karan hi chalta hai.yadi jivan me riste na ho to jivan, javn nahi hota.ye riste to pasuo me bhi hote hai kyuki unme bhi prem hota hai aur prem ko hi riste kaha jata hai koi bhi jeev ho chahe wah pasu ho ya pakcchi ho ya firkoi bhi jav sabhi apne bachcho ko chahte hai unme aapas me prem hota hai.

Riste kai prakar ke hote hai jinme se sabe badha rista hota hai PREM ka yah prem ka rista sabhi jiv jantuo me hota hai.sabhi jiv jantu prem ke risto ki bhasa samajhte hai.ese  yadi ham ham risto par dyan na de to yah kharab hote chale jate hai. ese ham ek chhoti si kahani ke madyam se samajhne ka prayas karte hai.

Ek ladki thi jo ki bahut sundar thi usse sabhi log pyar se bante karte the par wah jhujhlati thi chillati thi aur logo ke sath gusse ka vyavhar karti thi sabhi log usse pyar se bante karte the par wah dusro ke sath bura vartav karti thi us ladki ke pita usko samjhate the ki hame sabhi se achchhe se vyavhar karna chahiye par wah nahi samajhti thi wah apni sundarta ke ghamandh me dubi rahti thi .

Ek din uske pita ne use samjhane ke liye usse kaha ki beti ham ek khel khelte hai.aur uski beti tyar ho gai .pita ne kha mai tumhe bahut sari keele de raha hu jab bhi tumhe gussa aaye tum en keelo ko Deewal par laga dena usne kaha thikh hai.ek bar gussa aane par ek keel lgana.

Phle din jab ladhki ko gussa aaya to usne 30 keelo ko deewal par lagaya.ese tarah jab use dusre din gussa aaya tab usne 15 keelo ko lagaya es tarah din veette gai aur deewalo par keel lagane ki sankhiya bhi kam hoti gai es tarah us ladhki ki gussa kam hoti gai. ek din aaya ki usne Deewal par ek bhi keel nahi lagai.uski gussa khatam ho gai.

Ab pita ne apni ladki se kaha ki jab bhi tumhe kisi ki banto par gussa aaye aur tum gussa na karo tab ek keel ko Deewal se nikal lena.es tarah din veette gai aur wah kilo ko nakalti gai.ek di aisa aaya ki Deewal se sari keele nikal gai.

jab Deewal se sari keele nikal gai tab ladki ne apne pita se kaha ki yah Deewal to puri kharav ho gai.tav pita ne apni beti ko samjhaya ki ye Deewal hamari tarah hoti hai ham bhale hi kitne sundar ho yadi gussa karte hai to yah keel rupi gussa hamare sundar chahire ko kharab kar deti hai.jisse hamare dusro ke sath Riste kharab hote jate hai ek din aisa bhi aata hai ki yah khata ho jate hai.

Riste bahut najuk hote hai Hame enhe samhal kar rakhna chahiye.

PURANI BANTE


Jab tak jivan rahta hai tab tak har kisi ke sath kuchh achchha hota hai aur kuchchh 
bura.kuchh log jivan ke en anubhavo ko apne sath rakhte hai.aur kuchh log en par dyan nahi dete enhe bhul jate hai.jivan ke achchhe anubhav hame jeene ki prerna dete hai.aur jivan ke jo bure anubhav hote hai wo hame gltiyo ko sudharne ka avsar dete hai.

lekin kabhi kabhi purani bate ham par bojh bhi ban jati hai ye hamare vartman ke anand ko kharav kar dete hai.ham achchhi buri banto ke bojh ke tale dave rahte hai.din rat unhi ke bare me sochte rahte hai. ye hamare vartman ke anand ko kharab hi nahi karte balki hamare tanav ko bhi badhate hai.jisse ham vartman me jeene ki vajah bhutkal me hi dube rahte hai aur apne vartman ko kharav kar dete hai.ese ham ek chhoti si kahani ke madyam se sanajhne ka prayas karte hai.

     Ek jangal me ek chidiya rahti thi wah jagah jagh ghumti rahti thi.wah kabhi sahir me jakar edhar udha ghumti thi to kabhi gavo me jakar kheto me ghumti rahti thi. wah apne jivan ka anand le rahi thi kabhi wah aasman ko chhune ki kosis karti to kabhi, nadi talav v jharne ke pass ghumkar anand leti thi.

Par chidiya ki ek aadat thi wah apne sath ek potli lekar chalti thi uske sath jo bhi achchha ya bura hota tha.utne hi paththar wah apne potli me rakh leti thi. sab suru me sab kchh achchha chal raha tha. mgar jaise hi din nikalte ja rahe the waise hi uske sath jivan me achchha v bura hota ja raha tha aur utne hi paththar wah apne potli me rakhti ja rahi thi jis karan uski potli bhari hoti ja rahi thi.

kuchh dino bad chidiya ki potali etni bhari ho gai ki uska udna muskil hota ja raha tha.use udne me kafi kathinaiyu ka samna karna padhta tha.jaise hi din veette ja rahe the uski potli bhari hoti ja rahi thi aur uski kathnaiya badhti ja rahi thi.

Ek samay aisa aaya ki ab chidiya ka jameen par bhi chalna muskil ho gaya. kyuki uski potali kafi bhari ho gai thi.wah jaha par bhi jati apni potli ko ghaseet kar lekar jati thi jisse use kafi mehnat karni padhti thi aur uska sarir chhilta ja raha tha. uske sarir mai jagah jagh ghav hote ja rahe the.lekin wah apni potli ko nahi chhodh rahi thi.aur abhi bhi wah apne jivan ke achchhe bure anubhav ko paththar ke rup mai rakhti ja rahi thi.ek di aisa aaya ki wah ek jagah simat kar rah gai aur mar gai.

Aisa hi kuchh ham logo ke sath hota hai.ham log apni purani banto me hi khoy rahte hai aur apne vartman ko kharab kar dete hai.apne jivan ke achchhe aur bure banto me  khoy rahte hai jis karan chintao se ghire rahte hai.aur apne vartman ke anand ko kharab kar dete hai.hame apne jivan ki purani banto ko bhulkar apne vartman ka anand lena chahiye.hamesa chintao se mukt rahna chahiye.  

ENSAN KI KULHADHI


Ensan din rat apne kamo me vyast rahta hai aur apne upar Dyan nahi de pata. use moh mamta lagi rahti hai wah din rat paise kamane me laga rahta hai jisse uska sarir kamjor hota jata hai eska yah matlab nahi hai ki ensan ko kam nahi karna chaiye logo ko apna kam karte rahna chahiye par eske sath sath apne sarir par bhi dyan dena chahiye.

kyuki jab hanara sarir rahega tavhi ham achchhe se kam kar paynge yadi hamara saris kamjor hoga to ham achchhe se kam nahi kar paynge.kam ke sath sath hame apne sarir par dyan dene ka kam bhi karna chahiye.ese ham ek chhoti si kahani ke madyam se samajhne ki kosis karte hai.

    Ek bar ek vyakti kam ki talash me ek seth ke pas gaya.seth ne use jangal me jakar lakdiya lane ka kam diya wah vyakti pahile din jangal gaya aut 20 pedh kat kar laya uska sheth bahut khus hua.kyuki seth samajh gaya tha ki wah mehanti hai.

jab dusri din wah vyakti lakdhi lane ke liy jangal gaya tab usne phle din se jyada mehnat ki par wah 10 pedh hi kat paya.balki usne pahle din se jyada mehnat ki thi.jab seth ko pata chala ki wah pahle din se aadhi lakri lekar aaya hai tav usne usse kuchh nahi kha.

teesre din jab wah vyakti lakdhi lane ke liye jangal gaya tab wah sirf 5 pedh hi kat paya jabki usne pahle aur dusre din se jyada mehnat ki thi. wah vyakti bahut paresan tha es bat ko lekar wah seth ke pass gaya aur usne bataya ki maine pahile aur dusre din se jyada  mehnat ki hai fir bhi bahut kam lakdhiya thodh paya hu eska kya karan hai 

tav sheth ne bataya ki tumne apni kulhari me bahut dino se dhar nahi lagai hai jis karan tumne mehnat to jyada ki hai par lakdiya bahut kam kati hai tumhe jyada lakriya prapt karna hai to apne kulhari me dhar lagani hogi kyoki jab tak tumhari kulhari me Dhar nahi hogi tumhari sari mehnat vekar ho jaygi.tav us vyakti ne kaha ki mujhe kulhari me dhar lagane ka samay hi nahi mila.

aisi hi hamari aur aap ki jindagi hai ham bahut mehnat se kam ko karte hai par apne upar dhyan nahi de pate jis karan se hamara sarir kamjor hota jata hai. aur ek samay aata hai ki ham chhote se chhota kam bhi nahi kar pate.ham apne kamo me etne vyast rahte hai aur bhul jate hai ki kam to hamare es sarir se hi hoga yadi sari swasth rahega tabhi ham kam kar paynge. h

 Hame apne sarir ko samay samay par aaram dete rahna chahiye. jisse hamara sarir fresh taja ho jata hai.aur ham kam ko achchhi tarah kar pate hai.hame apne kulhari rupi sarir me bhi dhar lagate rahna chahiye.jab hamare sarir ko aaram mil jata bai tab hamara sarir tanav mukt rahta hai aur kam achchi tarah ho jate hai

kaha jata hai sabse badha Dhan hota hai Hamara sarir jab hamara sarir swasth rahega tavhi ham dhan kama paynge.esliye hame apne sarir ka Dyan dena chahiye.

KISMAT EK BUND KI


Har ensan ki apni apni kismat hoti hai koi apne kismat ke bharose baitha rahta hai aur koi apne karmo se apni kismat ko banata hai.jo log mehnat aur karm se nahi darte ve log apni kismat khud banate hai jo log mehnat nahi karna chahte v kary ko nahi karna chahte ve log kismat ke bharose baithe rahte ahi.

        yah bat sahi hai ki kuchh logo ki kismat achchhi hoti hai ye sayad unke pichle janmo ke achchhe karmo  ke karan hoti hai.parantu kuchh logo ki kismat achchhi nahi hoti  ye bhi sayad unke bure karmo ke karan hota hai har ensano ki kismat eksi nahi hoti kuchh log apni kismat es janam me bhi apne achchhe karyo ke karn banate hai.ese ham ek chhoti si khani ke madyam se samajhne ki kosis karte hai.

    Ek bund badalo ki god se jyo kuchh aage badhi mano ek beti apne babul ka ghar chhodh bida huiman me liye apne anginat sabal kuchh dari sahmi kuchh ghavrai si jane kya hoga meri kismat me kha hoga mera naya vasera kya ja girungi dhul me mit jaungi sada ke liye ya fir kisi nadi nale me gir kar bhul jaungi khub ko mai ya fir es athay nsamundar me gir kar kho dungi apne astitv ko hi tavhi us bund ki kismat se hi ek seepi ka mukh jag khula jaise mano apne vaho ko faila kar swagat kar rahi ho us bund ke aane ka moti us seepi me ja giri moti bani khus bahut hui apni kismat par.

   kismat kabhi kabhi aise bhi rang lati hai kahte hai kismat ke sitare badhe buland hote hai pta nahi kiski kismat kab bdal jaye kismat ke sitare Raja ko bhi rank bana dete hai aur ek road par rahne bale ko bhi Raja bana dete hai.hame kabhi bhi apni kismat par nahi rona chahiye kyu ki kismat to har vyaki ki achchhi hoti hai kyo ki bhagwan ne har vyakti ko bravr bravr diya hai haa lekin har ensan ka samay badalta rahta hai kabhi kabhi log eswar se kuchh mangte hai aur wo unhe nahi milta to ve apni kismat ko dosh dene lagte hai.unhe aisa nahi karna chahiye balki unko  jo eswar ne diya hai uska Dhanyvad Dena chahiye.

kuchh log es bat ko bhali bhati samajhte hai aur kuchh log ese samajhna nahi chhhte aur apni kismat ko koste rahte hai.kuchh logo ko pairo me pahinne ke liye achchhe achchhe jute nahi milte aur ve apni kismat ko kosne lagte hai par ve bhul jate hai ki unke pas to pair hai par unka kya hota hoga jinke pas pair hi nahi hai.kuchh logo ko achchhe achchhe pakwan nahi milte aur ve apni kismat ko kosne lagte hai par ve bhul jate hai ki es duniya me aise log bhi hai jo dinbhar mehnat majduri karte hai tab kabhi unhe rat me khana nasib hota hai.aur kabhi kabhi to unhe bhukha hi sona padhta hai.

Hame kabhi bhi apni kismat ko nahi kosna chahiye balki apne karmo par bharosa karna chahiye aur jo bhi hame Eswar ne diya hai uska Dhanyvad dena chahiye.  

VIDYA KA SAHI UPYOG


Jivan me kafi paresaniya aati hai par hame kabhi bhi har nahi manna chahiye aur na hi apni jimmedariyo se bhagna chahiye. kuchh log apne jivan ki  paresaniyo se tang aakar apna grahast jivan tyag dete hai. apni jimmedariyu se bhag ne lagte hai lekin be bhul jate hai ki har paristhtiyo ka samna karne wala v jatil paristhtiyo ka samna karne bala hi ensan kahlata hai 
  
          Presaniyo ka kya wah to grahast jivan tyagne ke bad bhi aati rahti hai.kuchh log apne ghar ko chhodh kar kahi dur chale jate hai aur nai nai vidyay sikhte hai kuchh log en vidyao ka sahi upyog karte hai aur kuchh log eska galat upyog karte hai.jiska unhe parinam bhogna padhta hai. aaiye ek chhoti si kahani ke madyam se ese samajhne ki kosis karte hai.

Ek bar ek aadmi jivan ki paresaniyo se tang aakar jangal chala gaya. wah jangal me apne rahne ka koi thikana dhundh raha tha.jangal me bhatakte hua ek mahatma ka aasram dikhai diya us vyakti ne dekha ki mahatma ji pakchhiyo se bante kar rahe hai.usne socha ki yadi yah vidya mai sikh jau to mujhe kafi fayda hoga.

wah vyakti mahatma ji ke pas gaya aur unhe pranam kiya aur mahatma ji se yah vidya sikhne ka aagrah karne laga.mahatma ji ne kaha thik hai mai tumhe yah vidya sikha dunga par tum eska galat upyog nahi karna.us vyakti ne mahatma ji se yah vidya sikh li aur fir apne Ghar vapis aane laga.us vyakti ne socha ki maine yah vidya to sikh hi li hai ab mai esse achche paise kamaunga.

               jab wah apne Ghar aaya to usne dekha ki do kabutar aapas me bante kar rahe hai ki uski bakri bimar padhne wali hai.yah sunkar us vyakti ne socha ki kyo na mai es bakro ko bench kar achche paise kama lu vaise bhi yah bimar padhne bali hai.aur usne bakri ko bench kar achchhe paise kamay.

       kuchh din bad do kutte aapas me bante kar rahe the ki us ke bail ki tang tutne bali hai.jaise hi ushe yah suna to usne socha ki kyo na mai apne bail ko bench kar achche paise kama lu vaise bhi eski tang tutne bali hai kon musibat ko ghar par rakhe.aur usne apne bail ko bench kar bhi usne achche paise kamay.

kuchh din bad aisa hi hua uski bakri bimar padhgai aur bail ki tang tut gai.fir ek din usne dekha ki do newle aapas me bante kar rahe hai ki.wah vyakti bimar padhne bala hai.tab use chinta satane lagi aur wah jangal me mahatma ji ke pas gya.puchhne laga ki mahatma ji aisa koi upay bataiye ki mai bimar na padhu.yah sunkar mahatma ji ne kaha ki maine tumse kaha tha ki es vidya ka galat upyog na karna lekin tumne nahi mana ab ese bhugto.

Asal jindagi me bhi kuchh log aisa karte hai.ve vidyao ko sikhlete hai aur uska galat upyug karte hai jo log galat upyog karte hai unhe uski saja bhugatni padhti hai aur jo log uska sahi upyog karte hai unka kuchh bhi bura nahi hota 

EKTA ME SAKTI HOTI HAI


Khte hai ek aur ek gyarah bhi hote hai. Ekta me sakti hoti ha. jo log sabhi ke sath milkar rahte hai unka koi bhi kuchh nahi bigar sakta kyuki jab unpar koi davav dalte hai ya anavasyak rup se paresan karte hai to unke support me kafi log aa jate hai aur dusra unka kuchh nahi bigadh pate.aisa tabhi sambhav ho pata hai jab sabhi log ek hote hai aur ek dusro ki madad karte hai.

yadi logo me ekta nahi hoti hai to unhe koi bhi paresan karne lagta hai yaha tak ki unhe chain se nahi jeene dete unki sari cheejo par apna adhikar jama lete hai. jaha par logo me ekta hoti hai wha par unka koi bhi bal bhi vaka nahi kar pata.ese ham ek chhoti si khani ke madyam se samajhne ki kosis karte hai.

jangal me ek pedh par ek chidiya ne apna ghosla banaya hua tha.ek din hathi wha aaya aur pedh ki dalo ko todhkar khane laga. jis karan se us chidiya ke ande neeche gir gay aur tut gay.chidiya ne jab dekha to use bahut bura laga wah bahut dukhi ho gai.

yah dekh uska dost kathfoda uske pas aaya aur chhediya se kahne laga ki dukhi mat ho cheediya kafi der tak roti rahi aur kathfoda use dilasa dilata raha .cheediya ne kathfode se kaha ki yadi tum mere sachche mitra ho to meri madad karo us hathi ko savak sikhao.

  tab kathfosde ne kaha ki mai tumhari madad awasy karunga lekin ham dono akele kuchh nahi kar sakte eske liye hame aur mitro ki madad leni padhegi tab wah kathfoda makhi ke pass gaya aur usse madad mangi makhi ne kaha eske liye hame medhak ke pas jana hoga aur usne medhak se madad mangi .

Sabhi ne milkar ek yujna banai kathfode ne kaha pahile makhi hathi ke kano ke pas aakar madhur dhun sunaygi jisse hathi dhun me mast ho jayga. tab mai aakar hathi ki aankho me bar karunga jisse hathi aandha ho jayga.

Tab hathi pani ki talas me jayga tabhi medhak daldal ke pas baith kar chillayga hathi samjhega ki yaha pani hai aur hathi  wha jayga jisse wah daldal me fas jayga.aur hathi ko dikhai na dene ke karan wah daldal me fasta hi chalajayga. jisse ki cheediya ka badla pura ho jayga 

 sabhi ne milkar aisa hi kiya mkhi ne mahur dhun sunai, kathfode ne aakhe fodhi,aur medhak ne hathi ko daldal me fasaya.jisse hathi ko uske kiye ki saja mil gai .yah sab sambhav hua hai sabhi ki ekta se sabhi ke sahyog se aisa sambhav ho paya hai.cheediya akeli kuchh nahi kar pati. ya fir enme se koi bhi akela kuchh bhi  nahi kr pata.jab logo me ekta hoti hai to ve sansar ka bade se bada kam aasani se kar lete hai.chhoti chhoti saktiya milkar ek badhi sakti ban jati hai.aur kam badhi aasani se ho jate hai.yadi logo me ekta nah hai to bade se bada desh bhi vikhar jata hai.

Sbhi ko sath me milkar kam karna chahiye.jisse kathin se kathin kam bhi saral ho jata hai.  

BUDHIMAN NETA


Kha jata hai ki yadi sainiko ki sankhiya jyada ho lekin Senapati murkh ho to ve har jate hai.eske vipreet yadi sainik kam ho lekin Senapati Budhiman ho to ve jeet jate hai.Neta hamesa budhiman logo ko hi chunna chahiye.budhiman log yudh ko budhimani se jeet te hai.kyuki jaha budhi kam karti hai wha tagat nahi kar pati.hame tagat se nahi Budhimani se kam lena chahiye.Duniya me har prakar ke log rahte hai. koi apni tagat se kam leta hai to koi apni budhimani se lekin sabki apni apni seemay hai.tagat se kam lena kathin hota hai par budhimani se kam lena aasan hota hai.aaiye ham ese ek chhoti si khani ke madyam se samajhne ka prayas karte hai.

Ek jangal me hathi rahte the ve apna jivan achchhe se vita rahe the. garmiyo ka mausam aaya.wha ki nadiya sukh gai hathi paresan hone lare kyuki unhe pine ko pani nahi mil raha tha.garmi jyada padh rahi thi Es samasya ka samadhan nikalne ke liye sabhi hathi ek sath milkar apne sardar ke pass gai aur apni samasya batai 

yah sunkar hathi ke sardar ne kaha ki mujhe ek jagah pata hai jha par hame pine ko pani mil sakta hai.aur fir sabhi hathi ek sath milkar jangal chhodh kar wha jane lage 4-5 din bad sare hathi wha par pahuch gai aur wha talab me unhone pani piya.unhe chen ki rahat mili.

      Us talab ke kinare bahut sare khargos rahte the unhone talab ke kinare bahut sare bill banaye hua the.jab sare hathi wha se gujar rahe the tab khargos ke bhut sare bill nast ho gai aur bahut sare khargos hathi ke pairo ke neeche aakar mar gay.kuchh khargos ki gardan tuti to kuchh ke pai tute aur bahut sare khargos ghayal ho gay. khargos bahut paresan the.

sare khargos milkar apne Neta ke pass gay aur apni samasya batai. khargos ke neta ne ek nirnay liya aur apne ek duth to hathi ke neta ke pas bheja .jab khargos ka duth hathi ke neta ke pass gaya to usne hathi se kaha ki mujhe chandrama ne bheja hai aur unhone aap logo ko talab me aane se roka hai

     Hathi ke neta ne puchha ki yah chandrama kon hai to usne jabab diya  yah talab ke malik hai talab enhi ka hai.yah sunkar hathi ne kaha mai ense milna chahta hu.khargos ne kaha aap unse rat me mill sakte hai

Rat hue hathi khargos ke sath chandrama se milne gaya. chandni rat thi jis karan chandrama talab ke pani me dikhai de raha tha jab hathi wha pahucha tab usne talab me chand ko dekha aur  pranam kiya aur kaha ki ab ham log yaha nahi aayenge.yah kahkar hathi wha se chala gaya.

Bhale hi hathiyo me tagat jyada thi par khargos ke neta ke pas budhimani thi khargos ke neta ne apni budhi pa prayog kiya aur hathiyo ko wha aane se roka,tagat hathiyo ke pass jyada thi par unhone apni budhi se kam nahi liya aur khargos ke samne apni har man li.

Jo log Budhiman hote hai unhi ko apna Neta chunna chahiye kyuki ve hamesa kary me safal hote hai

Pahichan


Achchhe aur Bure logo ki pahichan karna bahut muskil hota hai.kyuki bure log bhi achchee hone ka dikhava karte hai.enko pahichanna usi tarah muskil hota hai jis tarah ek kanch ke tukre aur heere ko pahichanna.ye dono deknne me ekse lagte hai dono me chamak hoti hai.kanch ki chamak kuchh pal ke liye hoti hai par Heere ki chamak Hamesa ke liye bani rahti hai.

Enhi ki tarah ensan hote hai kuchh ensan achcha banne ka dikhawa karte hai aur samay aane par wah apne asli rup me aa jate hai.lekin jo ensar wakai achchha hota hai wah kabhi nahi badalta arthat wah achchhe ka dikhava nahi karta wah hamesa achchha hi bana rahta hai.ese ham ek chhoti si khani ke madyam se samajhne ki kosis karte hai.

     Ek aadmi Raja ke drwar me gaya aur Raja se kahne laga ki mere hath me Ek kimti Heera hai aur ek kanch ka tukra yadi aap ke Darwar me kisi ne uski sahi pahichan kar li to mai yah Heera aap ke rajkos me de dunga. yadi eski koi pahichan nahi kar paya to aap mujhe 5000 sone ki mudray denge.Raja ne es chunoti ko svikar kar liya.

Rajdarwar lgaya gaya wari wari se log us Heere ki parakh karne lage par koi bhi use pahichan na saka.Raja ne bhi uski parakh karni chahi par Raja bhi Heere ko pahichan na saka.fir Raja ne apne rajkos se 5000 sone ki mudray mangakar us vyakti ko de diye.

esi tarah wah vyakti dusre Rajya me gaya aur esi tarah ki sart raja se rakhi raja ne es chunoti ko swikar kiya darwar me sabhi ne bari bari se heere ko pahichanne ki kosis ki par koi heere ko nahi pahchan paya Raja ne dukhi hokar rajdarwari se 5000 sone ki mudraye mngwa kar us vyakti ko de di.

    Es prakar wah vyakti kai Rajyo me gaya aur bahut sari sone ki mudraye jama karli.ek bar wah kisi dusre rajya me gaya sardiyo ka mausam tha.Raja ne apna darwar khule me suraj ki dhup me lagwaya jisse ki kisi ko apne kam me koi paresani na ho.Raja ne darwar me sabhi se bari bari se heere ki pahichan karne ke liye kaha.logo ne bari bari se heere aur kanch ke tukre dekha.par koi bhi Heere ko nahi pahichan saka.

Raja bhut paresan huaa kyuki yah raja ke samne ek chunoti thi.lekin ese koi pura nahi kar paya.raja ne apne darwariyo se kaha ki ve raj kos se 5000 sone ki mudray lakar us vyakti ko de de.Raja use sone ki mudray dene hi wala tha ki wha ek aadmi khadha tha jo ki aakho se andha tha.usne kaha ki mai ese dekhna chahta hu.usne dono tukro ko hatho me liya aur unhe chhu  kar bata diya ki Asli heera kon hai. us vyakti ne kaha haa enhone sahi bataya hai.

Raja ne andhe aadmi se puchha ki aap ne kaise pata kiya to usne jabab diya ki jo asli Heera hai wo dhup me bhi thanda rahta hai.

Achhhe vyaktiyo ka swabhav bhi Heere ki tarah hota hai ve hamesa har paristhtiyo me salinta ka parichay dete hai par jo bure log hote hai be thori si garmi pa kar crodhit ho jate hai.jis tara Heere aur kach me yah antar hai usi prakar uchch koti aur nimn koti ke Ensano me antar hota hai.thori si safalta pa kar niman koti ke log satve aasman par hote hai. aur jo uchch koti ke log hote hai wah hamesa sant swabhav ke hote hai.unke andar Ghamandh nahi hota.unka swabhav hamesa ek sa bana rahta hai.

Badha kon Shikchha ya Dhan


Kuchh log Shikchha ko mahatv dete hai aur kuchh log Dhan ko. sabal uthta hai ki Shikchh badhi hai ya fir Dhan.
kya Dhan se shikchh kharidi ja sakti hai ? ya fir Shikchha se dhan kharida ja sakta hai. sansar me Shikchha aur Dhan dono ka badha mahatv hai.aaj apna jivan chalane ke liye v apna pariwar chalane ke liye Dhan ki aawasyakta padhti hai..sirf dhan se hi sari aawasyaktao ki purti nahi hoti shikchh bhi aawasyak hai.kyuki shikchha ke dwara hi ham Dha kama sakte hai.Shikchha hame dhan deti hai.

yadi kisi ke pas jyada dha hai to wah kab tak chalega ek di aisa aayega ki uska sara Dhan samapt ho jayga.lekin shikchh kabhi bhi samapt nahi hoti ham Shikchha ke Dwara Dhan ko prapt kar sakte hai.shikchha ke dwara jo Dhan prapt hota hai wo kabhi bhi samapt nahi hota kyuki shikchha ke dwara ham kam par lage rahte hai aur Shikchha ke dwara hame rojgar milta rahta hai.Ese ham ek choti si khani ke madyam se samajhne ki kosis karte hai..

Ek raja tha wah pashu pakchhiyo se bahut pyar karta tha unse bahut lagav tha.wah hamesa pashu pakchhiyo se milne jangal jata rahta tha. ek di jab wah pasu pakchhiyo se milne jangal gaya tab waha tej havay chalne lagi aur varish hone lagi.jis karan Raja ko raste mai kuchh dikhai nhi de raha tha .Raja rasta bhatak gaya.kisi tarah wah jangal ke kinare aaya.

waha par teen bachche khel rahe the.kafi samay hone ke karan Raja bhukh pyas se vyakul tha.Raja ne un teeno bachcho ko bulaya aur unse kaha mujhe bahut bhukh lagi hai kya tum mere liye kuchh khane ko la sakte ho.teeno bachhe daudh kar gay aur Raja ke liye kuchh khana laye.raja ne khana khaya aur uske bad raja ne kha mai tum logo ko Enam dunga batao tumhe kya chahiye.yah sukar bachche khus hua.enam mangne lage.

Pahle bachche ne kha kya aap mujhe badha bangla aur car de sakte hai Raja ne kha ha mai aawasy dunga.yah sunkar wah khusi se uchhal padha.fir dusre bachche ne kaha ki mere pas Dhan ki bahut kami hai kya aap mujhe bahut sara Dhan de sakte hai.Raja ne kaha ha mai tumhe bahut sara dhan dunga.aur wah bi khusi se uchhal padha.

jab teesre bachche se Raja ne puchha ki beta tumhe kya chahiye tab usne badhi salinta se  kaha.mujhe Shikchha prapt karni hai mere pas shikchha prapt karne ka sadhan nahi hai kya aap mujhe rajmahil me shikchha pradan karwaynge yah bat sunkar raja prasan hua aur use apne sath rajmahil le ja kar rajguruo se Shikchha pradan karwai

Es prakar samy bitta gaya ek din jyada varish hone ke karan vadh aa gai aur pahile  bachche ka ghar usme wah gaya.jis karan wah kangal ho gaya.jyada dhan kharch karne ke karan dusre bachche ka sara Dhan khatam hogaya.aur wah bhi kangal ho gaya.

Lekin teesra bachcha padhne me bahut husiyar tha aur dimag se tej tha wah hamesa padhai me achche numbaro se pass hota tha jis karan raja ne use Mantri ka pad pradan kiya.ek din dono dost apne teesre dost se milne mahil gay.kahne lage hamne raja se galat enam mang liya tha.yah sunkar teesre dost yani mantri ne kaha.

Dhan hamesa kisi ke pas nahi rahta yah aata jata rahta hai. Shikchha hamesa hamare sath rahti hai.Dhan se  nahi balki Shikchha se ham Dhanwan bante hai. 

SAKARATMAK SOCH


Sansar me har prakar ki soch rakhne bale vyakti hote hai.kuchh log Nakaratmak vicharo se ghire rahte hai.kuchh log sakaratmak vicharo se.Sakaratmak ya Nakartmak soch Ensan ke kamo ko bahut prabhavit karti hai.jo Ensan sakaratmak soch rakhte hai .unhe safalta milti rahti hai aur yadi unhe asafalta bhi milti hai to be tanav mukt rahte hai, ve jyada paresan nahi hote.aur fir se apne kam ke prayas me lag jate hai unka moral down nahi hota.mehnat aur lagan se apne kam me lag jate hai.unhe safalta awasy milti hai.

        Jo log Nakaratmak soch wale log hote hai. be apna kam mehnat aur lagan se nahi karpate jis karan unhe unke kamo me safalta nahi mil pati jis karan unka manowal down bana rahta hai aur ve hamesa tanav me bane rahte hai.tanav me hone ke karan be mansik v saririk bimariyo ke sikar ho jate hai.sakaratmak soch rakhne walo ka confidence hamesa bana rahta hai aur be kisi bhi kam ko karne ke liye tatpar bane rahte hai ve kisi bhi kam se nahi darte .unhe koi bhi kam chhota ya badha nahi lagta.ve apne kamo ko anand ke sath karte rahte hai.Sakaratmak soch ko ham Ek chhoti si khani ke madyam se samajhne ki kosis karte hai.

     Ek nagar me ek sheth rahta tha. uska badha karowar tha.usne ek vyakti ko manager ke rup mai rakha hua tha.wah mehanti tha.apna kam lagan v emandari ke sath karta tha.use sheth ke yaha kam karte hua kafi samay ho gaya tha.sheth uspar bharosa karta tha. manager kabhi bhi anupasthit nahi rahta tha.

    Ek din manager sheth ke yaha kam par nahi aaya.wah anupasthit raha.tab sheth ne socha bahut din ho gaye hai maine manager ki salary nahi badhai hai ho sakta hai es karan se wah kam par nahi aaya ho.jab manager dusre din kam par aaya tab sheth ne usse kaha ki maine tumhari salary me 10 pratisat ki badha di hai. yah sunkar manager kuchh nahi bola aur apna kam karne laga.

   Kuch din bad manager fir se anupasthit raha.yah dekh kar sheth ko gussa aaya aur usne manager ki salary me se 10 pratisat ki katoti kar li.jab manager agle din kam par aaya tab sheth ne kaha mai tumhari salary se 10 pratisat ki katoti karta hu.yah sunrkar manager ne kuchh nahi kaha aur apne kam par lag gaya.sheth ko bahut gussa aaya wah manager ke pas gaya aur bola jab maine tumhari salary badhai tab tumne mujhse kuchh nahi kha aur jab maine tumhari salary kam ki tab bhi tumne mujhse kuchh nahi kaha.tum koi bhi pratikriya kyo nahi dete ho.

yah sari bante sunkar manager ne kaha.jab mai pahli bar anupasthit tha tab meri beti hui thi maine sochha es karan se aap ne meri salary badhai hai. jab mai dusri bar anupasthit tha tab meri Maa duniya chhodh kar chali gai thi.maine socha es karan aapne meri salary kam ki hai. yah sunkar sheth ne manager ko apne gale se laga liya aur uski salary fir se badha di.

Hame hamesa sakaratmak soch rakhna chahiye.sakaratmak soch rakhne bale kabhi bhi paresan nahi hote. be tanav mukt rahte hai unhe safalta milti rahti hai.ve kisi bhi paristhti me nahi ghawrate.

Wednesday 11 April 2018

Gyan hamesa sahi rasta dikhata hai


Gyan hamesa sahi rasta dikhata hai. gyan anmol hai jiska koi mol nahi hota hai .Gyan ki tulna kabhi paiso se nahi ki ja sakti hai. Gyan ko kabhi bhi paiso ke taraju se nahi tola ja sakta aur na hi Ese kharida ja sakta hai. kuchh log paise dekar Gyan ko kharidne ki kosis karte hai. ve paiso se Digriya to kharid lete hai par Gyan ko prapt nahi kar pate . Gyan hame burai ke saste par jane se bachata hai.Gyan hame sahi aur galat ke Nirnay ko btata hai.Gyan hame crodh ke andhkar se nikalkar prakas ki aur lata hai.Gyan ki mahima anant hai .Gyan ka jitna bhi varnan kiya jaye kam hota hai.Gyan ki koi seema nahi hoti hai.har pal pal par hame Gyan milta hai bas jarurat hoti hai hame sikhne ki usko prapt karne ki, usko pahichanne ki.Gyan se sari samasyay dur ho jati hai.chaliye ham ek chhoti si kahani ke madyam se Gyan ki mahima ko samajhne ki kosis karte hai.

              Ek bar ek aadmi paise kamane ke liye kisi badhe nagar me jana chahta tha .wah apne pita se aagya lene gya.us aadmi ki ek patni thi jo ki Garvbati thi.pita apne putra ko nirash nahi karna chahta tha esliye usne apne putra ko paise kamane ke liye nagar me jane ki anumati de di.
  
Putra nagar gya aur usne wha par bahut paisa kamaya wah badha seth ban gaya. 18 sal bad wah apne ghar laut raha tha use apne bibi aur bachche se milne ki bahut utsukta thi.jab wah raste mai safar kar raha tha tab use ek vyakti mila jo ki bahut hi udas tha.wah us udas vyakti ke pas gya aur udasi ka karan janna chaha .

udas vyakti ne kaha ki mere pas Gyan ke sutra hai par unhe koi nahi kharid raha hai.jis karan se mai udas hu. us aadmi ne kaha mai enhe kharid leta hu  aap enki kimat bataiye. udas vyakti ne kaha enki kimat 1000 sone ke sikke hai.

yah sunkar aadmi soch me dub gaya fir usne man me socha sauda to mahnga hai fir bhi mai enhe kharid leta hu kyuki wah kisi ko udas nahi dekh sakta tha aur usne us vyakti ko 1000 sone ke sikke de diye.

usne pahla gyan ka sutra diya " koi bhi kam karne se pahle 2 minit sochna chahiye crodh me aakar koi kam nahi karna chahiye" yah gyan ka sutra lekar wah apne ghar aaya.usne socha ki mai apni patni ko aane ka aaschary uphar du aur bina bataye wah rat me apni patni ke kamre me gya usne dekha ki ek aadmi uske vistar par leta hai wah aag babula ho gya aur crodh me andha ho gya usne sucha maine apni patni ko 18 sal tak usse milne ke entjar me gujare aur uski patni yaha kisi aur ke sath hai.us aadmi ne patni ko marne ke liye talwar nikali usi samay use us udas aadmi ka gya ka sutra yad aa gya.aur wah rukgaya tabhi uski patni ne use dekha aur apne pati ke pai chuye usne kaha beta dekho pitaji aaye hai jaise hi wah utha uski pagri gir gai aur uske sare bal vikhar gay.patni ne kaha yah aapki beti hai pita ki anupasthati mai eske man ko koi aanch na aaye es karan maine ese bachpan se puruso ke liwaj me rakha hai.

Esi gyan ke sutra ke karan uska parivar barvad hone se bachgaya.us aadmi ko es gyan ke sutra ke aage 1000 sone ke sikke feeke lag rahe the kyuki gyan ke sutra ke karan uska parivar bach gaya tha.