Image source othe
Ek mahatma raste se kahi ja rahe the. wah fate hua maile kapdhe
pahne hua the. samne se aa rahe Raja ke sipahi bole. raste se hat jao Raja
sahab aa rahe hai. etne me raja sahab aa gay. mahatma aage badhe aur puch
baithe. Raja jise chahe use apne rajy se nikal sakta hai aisa hai kya...?
Raja bola ha. tab mahatma ne kaha tab to achchha hai mujhe rat ko
machchhar bahut paresan karte hai sanp ka dar mujhe bahut satata hai.Raja ji
hukum do ki sanp es desh se chale jay
tab raja ne
kaha ki ham enhe nahi nakal sakte yadi aap chahe to hamare mahal me rah sakte
hai. raja ke aamantaran par mahatma ek din ke lia mahil gay. Unhone dekha ki wha
par talwar lekar pahredar khade hai
unhone man hi
man socha ki yah mahil hai ya tahkhana tab raja ne mahatma ji ko dekha aur unka
swagat satkar kiya
sam ke samay raja mahatma ji ke
kamre ke pas Eswar se prathna kar raha tha ki hey bhagwan mujhe dhany do, aayu
lambi do, aur mere samrajy ko badha do.
Yah sunkar
mahatma ji ne raja se kaha hamne samjha tum raja ho to dhany to tumhare pas hoga
hi. Lekin tum to kangal nikle aise me ham tum se kya mange hame jis cheej ki
jarurat hogi use se mang lenge jin se
tum mang rahe ho.
No comments:
Post a Comment