Saturday 13 February 2016

Kon Gyani aur Kon Agyani



Ek  chhote se gav me kuchh  logo ne saptahik  prabachan ka aayujan  rakha  .  aur ek din ek gyani ko bulaya gya  jisse ki log dharm aur gyan ki bato ko jan sake. Es ayujan ka prabhandh gav ke kuch logo ke dwara kiya gaya jo chahte the ki unke gav ke logo ko gyan  ki sikhchha mil jay.  Gav bale samay par prabachan sunne ke liy pahuch gay. Gyani  purush ne gav balo se puchha ki kya aap ko malun hai ki may aap logo se kya kahne bala hu.?  Yah sunkar gav balo ne kaha -  nahi to. .. gyani  purush gusse me aakar bole- jab aap ko pata hi nahi ki mai aap logo se kya kahne ja  raha hu  to fir kya kahu.  Wah naraj hokar  wha se chale gay. Gav ke sarpanch unke pas daudhte hua gay aur unse chhama yachna karne lage  unhone gyani purush se kaha gav ke log to agyani aur anpadh hai wo kya jane ki aap kya kahne bale hai. Aur kisi tarah se unhone gyani purush ko aane ke liy mana liya.
                         
  Aur agle din gyani purush fir wha gay aur fir se gav balo se wahi sabal dowara  puchhne lage   kya aap ko malum hai ki mai aap logo se kya  kahne bala hu. ? es bar gav wale satark the . unhone kaha ha hame malum hai ki aap kya kahenge . gyani purush bhadakh gay aur unhone kaha – jab aap logo ko pata hi hai ki may kya kahunga  to eska matlab hua ki aap log mujhse jyada gyani hai. Fir meri kya aabasyakta hai ? yah kahka wah wha se chale gay. Gav bale dubidha me padh gay ki aakhir un sajjan se kis tahah pesh aay , kya kahe.
                          
  Unhe fi r samjha bujha kar laya gaya es bar unhone fir whi sabal kiya to gav bale uthkar wha se jane lage. Gyani purush ne crodh me aakar kaha -  are mai kuchh kahne aaya hu to tum log yaha se ja rahe ho. Es par kuchh gav balo ne hath jodhkar kaha  - dekhiy, aap param gyani hai ham log murkh aur agyani hai hame aap ki bante samajh me nahi aati kripya aapne anmol bachan ham par vyarth na kare. Gyani purush akele khadhe rah gay.

   Unka ghamndh chur-chur ho gaya.
                                                                                                                                      Image source other

No comments:

Post a Comment