Thursday 25 February 2016

Dubta jahaj

                                                                                   Image source other
Ek bar samundra me ek jahaj par kuchh log yatra kar rahe the. Tabhi achanak tufan aa gaya. Jahaj hilne dulne laga aur sabhi yatri yaha se wha hone lage. Logo me dahsat failne lagi wo log bahut darnel age aur bahut ghabrane lge.  Us jahaj par ek aadmi baitha tha. Tbhi usne yatriyu se kaha ki tufan tham jayga aur kisi bhi yatri ko koi bhi nuksan nahi hoga.
            Logo ne kaha tum yah kaise kah sakte ho. Tabhi usne kaha ki mai ek jyutsi hu aur bhavisy ko jan sakta hu. Yah sunkar logo ka bhay kuchh kam hua aur logo ne rahat ki sans li.
            Fir achanak tufan ruk gaya aur sabhi yatri us vyakti ko pujne lage tha unhe dhanybad diya fir log surakchhit apne apne ghar pahuchh gay.
            Jab wah vyakti apne ghar gaya to uske sath ek uska chela tha usne us aadmi se puchha ki aap se ek bat puchhu tab usne kaha ki ha puchho tab usne puchha ki mai aap ko pichhle 20 salo se janta hu ki aap etne yogy nahi hai ki aap bhavisy bata sake fir aap ne yah kaise jana ki tufan ruk jayga tab us vyakti ne jabaj diya ki maine to bas aise hi tukka laga diya tha.
          Yah sunkar us ke chele ne kaha ki agar tufan nahi rukta to kya hota log hame nahi chhodte
Us vyakti ne kaha es ke liy wha pa bachta hi kon…………..

                                                       “ Esi ko kahte hai VISWAS ”

No comments:

Post a Comment