Monday 22 February 2016

Drastikon

Image source other

Ek Dharmatma ne jangal me ek makan banbaya. Aur bag bagiche  lagway taki yaha  aane bale log yaha thahre aur visram kare. Yaha par samay samay par log aate aur tharte the. Darwari har aane bale vyakti se puchhta ki aap ko yaha par kaisa laga aur malik ne ese kin logo ke liy banwaya hai. Waha par aane bala har vyakti apni apni drastikon  se wha par aane ka uddesh batate gay.
                   Choro ne kaha yaha par ham aaram karne, apni planning karne,mal ko bantne aur apne hathiyaro ko chhipane aate hai.
                    Juwariyu ne kaha  ham log yaha juaa khelne aur logo ki najro se bache rahne ke liy yaha aate hai.
                     Kalakaro ne kaha yaha par ham log akant aur santi  me kala ka abhiyash karne aate hai.
                     Santo ne kaha yaha par ham log akant aur santi me bhajan karne aur brahmleen hone ke liy aate hai.
                    Wha par kuchh  vidhyarthi aay unhone kaha yaha par santi hai jis karan se unhe vidhya ka adhyan achchhi tarah se ho jata hai.
                       Wha par aane bala har vyakti apni apni kary ki drasti se jabab deta gaya.
        Tab darwar ne yah niskarsh nikala ki jiska jaisa drastikon hota hai uska vaisa hi vyaktitv hota hai…….

No comments:

Post a Comment