Image source other
Kya aap bata sakte hai ki karam badha hota hai ya kismat. Kuchh
logo ka manna hota hai ki karam badha hota hai aur kuchh logo ka manna hota hai
ki kismat badhi hoti hai. Kabhi- kabhi Ensan apne karmo se apni kismat badal deta
hai. Par kabhi- kabhi kismat ke age karam apne ghutne tek deta hai. Kismat me
kuchh bhi likha ho par Ensan ko karam to karna hi chahiy ho sakta hai kismat me
karam karne ke bad hi safalta likhi ho. Par kuchh log karam to karte hai par
unhe safalta nahi milti aur wo nirash ho jate hai. Ho sakta hai kismat me
safalta dobara karam ya dabal mehnat karne ke bad hi likhi ho. Dusri taraf ydi
aap ki ankho par paththi bandh di jay aur Ek matke me kuchh kali goliya aur
kuchh safed goliya rakh di jay aur aap se unhe uthane ke liy kaha jay.aap chahte
hai ki aapke hantho me safed goli aaye par aap ke hatho me kali goli aa jati
hai. Es samay aap aisa kya karam kar sakte the ki aap ke hatho me safed goli
aati sayad esko ham kismat hi kahenge kyu ki hamare hatho me aisa koi bhi karam
nahi tha jo ham safed goli ko pane ke liy kar sakte kyu ki hamare ankho par
pattiya bandhi thi.aur yadi ham apni ankho se pattiyo ko kholte to wah galat
hota. Ek student jo bahut kadhi mehnat karta hai wah din rat apne studies me
laga rahta hai. Aur jab Exam ka time aata hai to wah bimar padh jata hai ya fir
wo jab apna Exam dene jata hai to uski bus chhuth jati hai ya fi uske sath koi
durghatna ho jati hai. Ese sayad aap kismat hi kahenge. Esliy kaha gaya hai ki
aap to aapne karam kijiy baki jo aap ki kismat me hoga wo aap ko milega.
“ yu to khuaabho ke mahil sajata hai har koi
Par pata wahi hai jo
kismat me hota hai “
No comments:
Post a Comment