Monday 15 March 2021

What is A/F (क्या आप जानते है A/F क्या है )


kya aap jante hai ki new car ya bike ke pichhe A/F kyu likha rahta hai. Jab bhi aap koi new car ya bike
kharidne jate hai to aap ko car ya bike ke pichhe A/F likhkar diya jata hai . yah aap ko esliye likhkar dya jata hai kyu ki aap ke pas gadhi ka number nhi hota hai . A/F  ka matlab hota hai Applied for.eska matlab hota hai ki aap ki car ya bike ke number ke liye aap ne applie kiya hai aur jab tak aap ke car ya bike ka number nahi aa jata jabtak aap apni car ya bike ke number plate par A/F likh sakte hai .
Aam tor par ek hapte mai rajistration number aa jata hai.par kuchh log apni car ya bike par ek mahine ya fir esse jyada dino tak A/F likh kar rakhte hai jo ki galat hai .yah kanuni tor par galat hai jab ek hapte me car ya bike ka Rajistration number aa jata hai to ese car ya bike ki number plate pr lgwa lena chahiye.

No comments:

Post a Comment