Wednesday 23 September 2015

Ghamandh



                                                                                        Image source other

Log hans ki prasansa karte hai. Aur mujhe kala kahte hai. Mai to hans se bhi tej udh sakta hu. Kyu na mai use udhne ke mukable ke lia lalkaru aur use hara du. Tab log meri prasansa karenge. Aur  uska anadar . yah soch kar kauye ne hans ko samudra ke beech me stith ek deep tak ek sath  udhne ke lia lal kara. Hans taiyar nahi hua , kintu kauye ne jidh na chhodhi. Dono ne udhna suru kiya. Aarambh me kauaa ateyant tej gati se udhta raha. Kauya seegrh thakh gaya aur neeche girne laga. Hans ko us par daya aae. Usne kauye ko apne pankho par baitha kar deep tak surakhchhit pahucha diya. Kauaa apne kiye par bahut lajji hua.
   

                                   Aksar dosto aisa hota hai kuchh log sochhte hai ki wahi hai sabse aage unke aage koi bhi nahi hai aur ghamandh ke sagar me dhube rahte hai wo bhul jate hai ki unse aage bhi koi ho sakta hai. Unhe gamandh ke sagar se bahr nikalna chahiye. Dosto saste mulye ki dhatu me aksar khanknahat hoti hai lekin jo dhatu mulyeban hoti hai usme khanknahat nahi hoti.  

No comments:

Post a Comment